Shehzadi e Rasool Jannat ki hai Malika Lyrics

Ya Saiyyada ............... Ya Zahra............

Shehzadi e Rasool Jannat ki hai Malika
Hasanain ki hai Maa wo Fatima Zahra

Nabi ke ghar mai jo rehmat hai Fatima Zahra
Khuda ki khas inayat hai Fatima Zahra

Nabi aal hamara azim virsa hai
Ye la zaval virasat hai Fatima Zahra

Tumhare naam jo utri hai Ayat e Tathir
Ye Be misal karamat hai Fatima Zahra

Tumhare baalon ko dekha na chand suraj ne
Haya ki chadar e izzat hai Fatima Zahra

Zamana kehta hai jisko Hasan Husain ki Maa
Rasool e paak ki itrat hai Fatima Zahra

Nabi ke jism ka tukda hai zauja e haidar
Ali ke paas amanat hai Fatima Zahra

Riza v sabr ki malika nabi ki shehzadi
Ibadaton ki hakikat hai Fatima Zahra

Lahu Husain ka ab bhi gavahi deta hai
Tumhare khun mai jur'at hai Fatima Zahra

Dar e Batool UJAGAR kabhi na chhode ga
Tumhare dar se hi izzat hai Fatima Zahra

Comments

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics / सिक्का चलेगा आमेना के लाल का / سکہ چلے گا آمنہ کے لال کا

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Hum Apne Nabi Pak se yun Pyar karenge Lyrics / हम अपने नबी पाक से यूँ प्यार करेंगे

Sohna Aaya Te saj gaye ne Galiyan Bazar Lyrics / सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार

Gali Gali Saj gayi Shaher Shaher Saj gaya Lyrics / गली गली सज गयी, शहर शहर सज गया

Dekhte kya ho Ahle Safa Lyrics / देखते क्या हो अहले सफ़ा / دیکھتے کیا ہو اہلِ صفا