Yehi Dhun hai Yehi Dhun hai
Yehi Dhun hai Yehi Dhun hai
Yehi Dhun hai Madina dekhun ek baar
Yehi Dhun hai Madina dekhun ek baar
Aakhri Umar mein kya Ronake Duniya dekhun
Ab to bas Ek hi Dhun hai ke Madina dekhun
Jaliyan dekhun ke Deewaro Darobame Haram
Apni Ma'zoor nigahon se Mein kya kya dekhun
Ab to bas Ek hi Dhun hai ke Madina dekhun
Mein kahan hun ye samaj lun to uthaun Nazrein
Dil jo Sambhle to Mein fir Gumbade Khazra dekhun
Ab to bas Ek hi Dhun hai ke Madina dekhun
Mere Maula Meri Aankhein Muje wapas karde
Take Is baar Mein jee bhar ke Madina dekhun
Ab to bas Ek hi Dhun hai ke Madina dekhun
Kash Iqbal yunhi Umar basar ho Meri
Sub'ha Kaabe mein ho to Sham ko Tayba dekhun
Ab to bas Ek hi Dhun hai ke Madina dekhun