Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
haajiyo.n ! mustafa se keh dena kamli waale ka naam le le kar be-sahaare salaam karte hei.n haajiyo.n ! mustafa se keh dena gham ke maare salaam karte he.n allah! allah! huzoor ki baatei.n marhaba ! rang-o-noor ki baate.n chaand jinki balaae.n leta hai aur sitaare salam karte hein zaaeer-e-taiba tu madine mein mere aaqa se itna keh dena pyaare aaqa rasool sun lijiye gham ke maare salam karte hein aye payaami ! meri qasam hai tuje 'arz karna rasool-e-akram se qalb-e-muztar ko hai huzoor tadap aur saare salam karte hein sabz-gumbad ka aankh mein manzar aur tasawwur mein aapka mimbar saamne jaaliyaa.n hein roze ki aur zahen se salaam karte hein allah! allah! Huzoor ke gesoo bhini-bhini mahekti wo khushbu jinse ma'moor hai f...
shaah-e-do 'aalam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam karo duur har Gam salaam assalaam har aankh hoke pur-nam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam a Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam rabb ne baDe pyaar se me'raaj me.n kahaa rahne do naa'lain ko aa jaao mustafaa qadam-e-mustafaa ka liyaa arsh ne bosaa jhuum uthe saare malaa.ik o marhabaa maa.nge jo nabii rab ne vo diyaa rab ne jo diya, nabii ne vo liyaa jhuuka 'arsh-e-aa'zam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam aapne jo kar diyaa u.nglii ka ishaaraa chaand do tukDe hua qurbaan ho gayaa jab namaaz-e-'asr 'ali ki hui qazaa aapne suraj ko dubaaraa palat diyaa aap jo kiye, mo'jize bane aap ...
al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...
madine ke aaqa ! salamun 'alaik madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik zamee.n me.n muhammad, zamaa.n me.n muhammad makee.n me.n muhammad, makaa.n mein Muhammad har ek shay me.n jalwa rasool-e-KHuda ka salamun 'alayk, salamun 'alayk madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik gunaaho.n ne gera . khataao.n ne gera musibat ne gera , balaao.n ne gera bacha lijiyega , bacha lijiyega salamun 'alayk, salamun 'alayk madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik hamari bhi qismat banaado nabiji nasibaa.n bhi soya jagaado nabiji hame.n apna roza dikhaa-dijiyega hame.n fir madina bula lijiyega salamun 'alayk, salamun 'alayk madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik na daulat talab hai , na shohrat talab ha...
mustafa jaan-e-rehmat pe laakhon salaam mustafa jaan-e-rehmat pe laakhon salaam shaam-e-bazm-e-hidaayat pe laakhon salaam mehr-e-charkh-e-nubuwwat pe roshan durood ghule baagh-e-risaalat pe laakhon salaam shahr-e-yaar-e-iram taajdaar-e-haram nau bahaar-e-shafaa'at pe laakhon salaam shab-e-asraa ke dulha pe daa'im durood nosha-e-bazm-e-jannat pe laakhon salaam fath-e-baab-e-nubuwwat pe behad durood khatm-e-daura-e-risaalat pe laakhon salaam mujh se be-kas ki daulat pe laakhon durood mujh se be-bas ki quwwat pe laakhon salaam ham gareebon ke aaqa pe behad durood ham fakeeron ki sarwat pe laakhon salaam door-o-nazdeek ke sunne waale woh kaan kaan-e-laale qaraamat pe laakhon salaam jis ke sajde ko mehrab-e-kaaba jhuki un bhavon ki lataafat pe laakhon salaam jis taraf uth gayi dam mein dam aa gaya us nigaah-e-inayat pe laakhon salaam n...
kya bataun ki kya madina hai kya bataun ki kya madina hai bas mera mudda'aa madina hai uth ke jaaun kahan madine se kya koi dusra madina hai kya bataun ki kya madina hai uski aankhon ka noor to dekho jiska dekha hua madina hai kya bataun ki kya madina hai dil mein ab koi aarzu hi nahin ya muhammad hai ya madina hai kya bataun ki kya madina hai duniya wale to dard dete hein zakhmi dil ki dawa madina hai kya bataun ki kya madina hai mere aaqa! mujhe bula lijiye mujhko bhi dekhna madina hai kya bataun ki kya madina hai dil fida hai madine wale pa...
maula ya salli wa sallim daaeeman abadan sahar ka waqt tha maasum kaliyaa.n muskuraati thi.n hawaaei.n khair-makhdam ke taraane gungunaati thi.n abhi jibreel bhi utre na the kaa'be ke mimbar se ke itne me.n sadaa aayi hai abdullah ke ghar se mubaarak ho shah-e-har-do-saraa tashreef le aaye mubaarak ho muhammad mustafa tashreef le aaye maula ya salli wa sallim daaeeman abadan 'ala habibi-k khairil khalki kullimi muhammadun sayyidun kaw-nayni wa sakalayni wal-farikayni min arabiw-wa-min ajami na koi aap jaisa hai na koi aap jaisa tha koi yusuf se puchhe mustafa ka husn kaisa tha zameeno.n aasmaa.n me.n koi bhi misaal na mili maula ya salli wa sallim daaeeman 'abadan ...
kaaba dikhade maula! Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allahu allah allahu allahallahu allah allahu allah kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! allahu allah allahu allah allahu allah allahu allah har aankh chahti hai kaaba dikhade maula! hasrat pukarti hai kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! allahu allah allahu allah allahu allah allahu allah koh-e-safa se dodun marwa ki chotiyon tak khwahish machal rahi hai kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! allahu allah allahu allah allahu allah allahu allah aheram phir pahen kar tauf-e-haram karun main meri dua yahi hai kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! allahu allah allahu allah allahu allah allahu allah minaar unche unche dikhla de tu haram ke pasti mein zindagi hai kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! kaaba dikhade maula! allahu allah allahu allah allahu allah allahu allah yaad-e-haram mein aan...
ماشاءاللہ ماشاءاللہ ماشاءاللہ
ReplyDeleteMashallah
ReplyDeleteSubhanallah
ReplyDeleteSubhanallah
ReplyDeleteSubhan Allah
ReplyDelete