mustafa jaan-e-rehmat pe laakhon salaam mustafa jaan-e-rehmat pe laakhon salaam shaam-e-bazm-e-hidaayat pe laakhon salaam mehr-e-charkh-e-nubuwwat pe roshan durood ghule baagh-e-risaalat pe laakhon salaam shahr-e-yaar-e-iram taajdaar-e-haram nau bahaar-e-shafaa'at pe laakhon salaam shab-e-asraa ke dulha pe daa'im durood nosha-e-bazm-e-jannat pe laakhon salaam fath-e-baab-e-nubuwwat pe behad durood khatm-e-daura-e-risaalat pe laakhon salaam mujh se be-kas ki daulat pe laakhon durood mujh se be-bas ki quwwat pe laakhon salaam ham gareebon ke aaqa pe behad durood ham fakeeron ki sarwat pe laakhon salaam door-o-nazdeek ke sunne waale woh kaan kaan-e-laale qaraamat pe laakhon salaam jis ke sajde ko mehrab-e-kaaba jhuki un bhavon ki lataafat pe laakhon salaam jis taraf uth gayi dam mein dam aa gaya us nigaah-e-inayat pe laakhon salaam n...
labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! kariya-kariya, basti-basti, zikr nabi ka aam karo pyaare aaqa ke diwaano.n ! haath mei.n daale haath chalo hubb-e-nabi ka har dil mei.n, tum jaa ke deep jalaao unche mei.n uncha nabi ka janda, ghar-ghar mei.n lehraao khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! ibn-e-'ali ne karbo-bala mei.n tum ko ye paighaam diya yaad rakkho, pyaare aaqa ne tum ko paak nizaam diya tod do baahu ...
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Sikka Chalega Amena ka Laal ka Naat-Khwaan: Gulam Mustafa Qadri sikka chalega amena ka laal ka sikka chalega amena ka laal ka purnoor hai zamana subh-e-shabe wilaadat parda utha hai kiska subh-e-shabe wilaadat fasle bahaar aayi shakle nigaar aayi gulzaar hai zamaana subh-e-shabe wilaadat dil jagmaga rahe hein qismat chamak uthi hai faila naya ujaala subh-e-shabe wilaadat roohul ameen ne gaada kaabe ki chhat pe janda ta-arsh uda farera subh-e-shabe wilaadat baanta hai do jahan mein tune ziya ka baada dede hasan ka hissa subh-e-shabe wilaadat aayi nayi hukumat sikka naya chalega aalam ne rang badla subh-e-shabe wilaadat sikka chalega amena ka laal ka sikka chalega amena ka laal ka subh taybaah mein hui bant-ta hai baada noor ka sadqa lene...
Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri hum apne nabi paak se yun pyar karenge hum apne nabi paak se yun pyar karenge har haal mein sarkar ka milad karenge jashne wilaadat ki ronak pe yaaron marte hein sunni marte raheinge apne nabi ki azmat ka charcha karte hein sunni karte raheinge kuchh jalne wale dekh ke kehte hein hamesha sarkar ki aamad pe lagaate hein kyun paisa ye paisa to kya cheez hai ham ghar bhi lutaade.n koi nahin jahaan mein sarkar ke jaisa ham apne nabi paak se yun pyar karenge har haal mein sarkar ka milad karenge mere sarkar aaye mere dildaar aaye mere nabi aa gaye marhaba ya mustafa pyare nabi aa gaye marhaba ya mustafa lajpal nabi aa gaye marhaba ya mustafa ghamkhar nabi aa gaye marhaba ya mustafa sahibe meraaj nabi, aasion ki laaj nabi nabiyon ke sartaaj nabi, kal bhi the aur aaj nabi do jahaan ke raaj wale mere nab...
Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri gali gali saj gayi, shehar shehar saj gaya gali gali saj gayi, shehar shehar saj gaya aaye nabi pyare nabi, mera bhi ghar saj gaya marhaba ya mustafa marhaba ya mustafa mustafa se pyar hai dil se ye ikrar hai har koi milade nabi karne ko tayyar hai marhaba ya mustafa marhaba ya mustafa duniya mein jahan bhi rahein aabad rahenge jo aamena ke laal ka milad karenge jande lagao khushiyan manao karke charagan khushiyan manao aashiq ne madani lighton se ghar jagmaga diya ye jashn zaroori hai sabhi ko bata diya munkir ye tera bugz hai milade nabi se jo sara saal jalta tha wo bhi buja diya milad pe charagaan na sahi jo bulb sara saal jalta tha wo bhi buja diya gali gali saj gayi shehar shehar saj gaya aaye nabi pyare nabi mera bhi ghar saj gaya duniya mein jahan bhi rahein aabad rahenge jo aamena ke laal ka milad ka...
sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar saani na koi mere sohne nabi lajpaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da shaana ondhiyaan uchiyaan te rutba kamaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar kyun na sohne diya siftaan karaan mein dam dam oda kyun na zikr karaan mein rabb ne banaaya oda rutba kamaal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar mera deen imaan hai tussi mere kon ho aap hi rabb de aakhari rasool ho rab ne banaaya nahi koi tere naal da lab ke le aawaan kittu sohna tere naal da sohna aaya te saj gaye ne galiyaan bazaar eda sona nabi koi duniya te aaya nahin yaar enu jeda koi rabb ne banaaya nahin deed mere nabi di aye rabb da nazaara sohn...
maula ya salli wa sallim daaeeman abadan sahar ka waqt tha maasum kaliyaa.n muskuraati thi.n hawaaei.n khair-makhdam ke taraane gungunaati thi.n abhi jibreel bhi utre na the kaa'be ke mimbar se ke itne me.n sadaa aayi hai abdullah ke ghar se mubaarak ho shah-e-har-do-saraa tashreef le aaye mubaarak ho muhammad mustafa tashreef le aaye maula ya salli wa sallim daaeeman abadan 'ala habibi-k khairil khalki kullimi muhammadun sayyidun kaw-nayni wa sakalayni wal-farikayni min arabiw-wa-min ajami na koi aap jaisa hai na koi aap jaisa tha koi yusuf se puchhe mustafa ka husn kaisa tha zameeno.n aasmaa.n me.n koi bhi misaal na mili maula ya salli wa sallim daaeeman 'abadan ...
dekhte kya ho ahle safa, aa pahuche mehbūb-e-khudā aap aaye to duniya munawwar hui bazm-e-kaunain mein eid ghar ghar hui do-jahaan ko hidaayat muyassar hui aam tauheed-e-khallaaq-e-akbar hui haadi-e-do jahaan ho salaam aap par sarwar-e-inso jaan ho salaam aap par dekhte kya ho ahle safa, aa pahuche mehbūb-e-khudā yaani ho chuke jalwaa-numa, shaahe haq shaahe bathaa laa ilaaha illallaah laa ilaaha illallaah laa ilaaha illallaah laa ilaaha illallaah aamanna bi rasūlillaah maalik-e-jannat aa pahuche, qaasim-e-ne'mat aa pahuche waali-e-ummat aa pahuche, rabb ki rehmat aa pahuche dekhte kya ho ahle safa, aa pahuche mehbūb-e-khudā yaani ho chuke jalwaa-numa, shaahe haq shaahe bathaa laa ilaaha illallaah laa ilaaha illallaah laa ilaaha illallaah laa ilaaha illallaah aamanna bi rasūlillaah aye shaahe zulkaram ho salaam aap par haadi-e-mohtaram ho salaam aap...
ماشاءاللہ ماشاءاللہ ماشاءاللہ
ReplyDeleteMashallah
ReplyDeleteSubhanallah
ReplyDeleteSubhanallah
ReplyDeleteSubhan Allah
ReplyDelete