Posts

Showing posts with the label husain mankabat

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam ya husain ya husain ya husain ya husain kar liya nosh jisne shahadat ka jaam us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam assalaam aye husain ibn-e-haidar assalaam aye husain ibn-e-haidar jinko dhokhe se kufe bulaya gaya jinko baithe bithaye sataya gaya jinke bachon ko pyasa rulaya gaya jinki gardan pe khanjar chalaya gaya us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam assalaam ya husain, assalaam ya husain assalaam ya husain, assalaam ya husain jinka jannat se joda mangaya gaya jinko dosh-e-nabi pe bithaya gaya zeher bhai ko jiske pilaya gaya jisko teeron se chhalli karaya gaya assalaam aye husain ibn-e-haidar assalaam aye husain ibn-e-haidar jisne haq karbala mein ada kar diya apne nana ka wada wafa kar diya sab kuch ummat ki khaatir fida kar diya ghar ka ghar bhi supurde khuda kar diya us husain ibn-e-hai...

Mera Maula Maula Husain hai Lyrics / मेरा मौला मौला हुसैन है / میرا مولا مولا حسین ہے

mera maula maula husain hai Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri mera maula maula husain hai mera maula maula husain hai jo hua nawasa-e-mustafa wo ali ka beta husain hai jo yazidiyat ko fanaah kare shahe karbala wo husain hai bibi fatima ka wo ladla mera badshah wo husain hai mera maula maula husain hai mera maula maula husain hai kya sunaun waqia-e-karbala haaye teer neza kahaan laga jise chumte rahe mustafa wo husaini sar tha kata hua saara ghar ka ghar bhi luta diya wo jo kar gaya wo husain hai mera maula maula husain hai mera maula maula husain hai yahi bole hazrat-e-hurr shaha ya husain aap ka shukriya ke yazidiyon se nikal kar jo husainiyon mein bitha diya mujhe manzilon ka pata diya mera rehnuma wo husain hai mera maula maula husain hai mera maula maula husain hai wo bhi banda kitna ajeeb hai jo kahe yazeed...

Husain Mere hein Lyrics /हुसैन मेरे हैं / حسین میرے ہیں

husain mere hain Naat-Khwaan: Hafiz Ahmed Raza Qadri maula husain hai mera maula husain hai husaino minni wa ana minal husain husaino minni wa ana minal husain mujhe hai naaz ke maula husain mere hain yahi to kehti hai duniya husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain ye rukh hawa-e-zamana ka jisne fera hai tera wo ek hi sajda husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain qaza ke baad fir mujhe nayi hayat mil gayi azaab se aur taab se mujhe nijaat mil gayi sawaal jab kiya gaya to maine keh diya husain hain maula husain hai mera maula husain hai unhi ke naam ka taweez pahenu khushboo kar milega deen ka jazba husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain dahan husain ka aur thi zabaan aaqa ki labon ka lete the bosa husain m...

Ali ke Lakhte Jigar Lyrics / अली के लख़्त-ए-जिगर / علی کے لختِ جگر

tera husain mera husain Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri tera husain mera husain sabka husain maula husain ya shaheede karbala ya shaheede karbala mere khuda ki riza hai ali ke lakhte jigar nabi ke deen pe fida hai ali ke lakhte jigar shehzaada ali ka pyaara hai nabi ka zahra ka ladla mahboob sabhi ka faqeeron aayo sadaa de rahe hain ye abbas sarapa baabe sakha hain ali ke lakhte jigar shehzaada ali ka pyaara hai nabi ka zahra ka ladla mahboob sabhi ka husaini khoon se wo inqilab aaya hai mita hai kufr baqa hai ali ke lakhte jigar tera husain mera husain sabka husain maula husain mere rasool ne sardaar-e-khuld inko chuna tabhi to sabse juda hain ali ke lakhte jigar shehzaada ali ka pyaara hai nabi ka zahra ka ladla mahboob sabhi ka ukhaad phenko jahaan se yazeediyat ka alam tumhare saath sadaa hain ali ke lakhte jigar ...

Ya Husain Ibne Ali Aap par lakhon Salam Lyrics /| या हुसैन इब्ने अली आप पर लाखों सलाम / یا حسین ابنِ علی آپ پر لاکھوں سلام

ya husain ibne ali aap par lakhon salaam ya husain ibne ali aap par lakhon salaam aap hein aale nabi aap par lakhon salaam pite paani aap to hoti mehshar mein zaroor aabe kausar mein kami aap par lakhon salaam kufiyon ne aap par jo kiye zulm-o-sitam aisa na dekha kabhi aap par lakhon salaam raaste bhi band kiye paani bhi roka gaya aah! re ye sangdili aap par lakhon salaam hai dua sarkaar se haazireen-e-bazm ko aap na bhulein kabhi aap par lakhon salaam aap ka altaf hai deeno duniya mein huzoor aap na bhulein kabhi aap par lakhon salaam या हुसैन इब्ने अली आप पर लाखों सलाम या हुसैन इब्ने अली आप पर लाखों सलाम आप हैं आले नबी आप पर लाखों सलाम पीते पानी आप तो होती महशर में ज़रूर आबे कौसर में कमी आप पर लाखों सलाम कूफ़ियों ने आप पर जो किए ज़ुल्म-ओ-सितम ऐसा न देखा कभी आप पर लाखों सलाम रास्ते भी बंद किए पानी भी रोका गया आह! रे ये संगदिली आप पर ...

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam teer laga nanhe asghar ko, phool sa chehra murjhaaya dekh shaherbanu, bachche ko god mein leke farmaaya hoze kausar ka pee lena jaam, aapko salaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam jabr ke aage sabr khada tha, zulm-o-sitam ko rok kar jinko hua deedaar khuda ka, khanjar ki us nok par dekho shaheedon ka hai ye maqaam, aapko salaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam jinki peshaani ka bosa pyaare nabi farmaate the bachpan mein jibraeel-e-ameen bhi jhula jhulaane aate the wo hain nawaasa-e-khairul anam, aapko salaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam aye husain ibne ali, zohra ke dilbar assalaam aye shaheed-e-karbala, aye deen ke raahbar assalaam karbala mein aapne haq ke liye hai ...

Husain Tumko Zamaana Salaam kehta hai Lyrics / हुसैन तुमको ज़माना सलाम कहता है / حسین! تم کو زمانہ سلام کہتا ہے

husain tumko zamaana salaam kehta hai Naat-Khwaan: Hafiz Bilal Qadri tumhare sajde ko kaaba salaam kehta hai jalaale kubba-e-khazraa salaam kehta hai chaman ka har ghul-o-ghuncha salaam kehta hai husain tumko zamaana salaam kehta hai charaag-o-masjid-o-mimbar salaam kehte hain nabi rasool paighambar salaam kehte hain ali o fatima shabbar salaam kehte hain khuda gawaah hai ke naana salaam kehte hain husain tumko zamaana salaam kehta hai mere husain tujhe salaam mere husain tujhe salaam assalaam ya husain, assalaam ya husain assalaam ya husain, assalaam ya husain jisne haq karbala mein ada kar diya apne naana ka waada wafa kar diya sab kuch ummat ki khaatir fida kar diya ghar ka ghar sab supurde khuda kar diya us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam assalaam ya husain, assalaam ya husain assalaam ya husain, assalaam ya husain khuda ki raah ...

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

shah sawaar-e-karbala ki shah sawaari ko salaam rasm-e-‘ushshaaq yahi hai ke wafa karte hain yaani har haal mein haq apna ada karte hain hosla hazrat-e-shabbir ka allah allah sar juda hota hai aur shukr-e-khuda karte hain shah sawaar-e-karbala ki shah sawaari ko salaam neze pe qur’an padhne wale qaari ko salaam raat din bichhde huon ki raah mein rehna khade hazrat-e-sughra tumhari intezaari ko salaam sar se chaadar chhin gayi lekin nazar uthi nahin hazrat-e-zainab tumhari parda-daari ko salaam muskurate tegh pe roshan kiya rangeen charaagh akbar-o-qasim tumhari jaan-nisaari ko salaam kat gaya kumbha, museebat sar pe aayi, lut gayi ho gayi bhai bhatijon se judaai, lut gayi umar bhar ki daste gurbat mein kamaai lut gayi roke jab kehti thi zainab: haaye bhai lut gayi ghar ali ka kya luta, saari khudaai lut gayi har imtihaan mein shabir-o-shaakir rahe husain ...

Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya Lyrics / एक फ़ातिमा के लाल को पानी नहीं दिया है / ایک فاطمہ کے لال کو پانی نہیں دیا ہے

ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai ek katra nahin tauheed ke pyaase ke liye band hai naher muhammad ke nawase ke liye khoon-e-shabbir se mehnga hua bartar paani kaun de aabide beemaar ko laakar paani saqī-e-kausar o tasneem hai jiska naana karbala mein hai wahi teen dinon ka pyaasa badla laeen tune kis jurm ka liya hai ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai mashk thāme hue abbaas alamdaar chale naher ki simt wo paani ke talabgaar chale lashkar-e-shimr ne ki teeron ki baarish itni ho gaye hazrat-e-abbaas ke baazu chhalli ae sitamgar tera is par bhi kaleja na hila haa'e nanhi si sakiina ko bhi paani na diya ye charkh kya karega sitam tune jo kiya hai ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai ek fa...

Roshan sada rahega tera naam ya husain Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

roshan sada rahega tera naam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain kyunki kiya hai aapne wo kaam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain mitti mein mil gaye sabhi kutte yazeed ke zinda hein aap, aap ka islaam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain khuld-e-bari pe qabzaa-o-shaahi hai aapki zillat hui yazeed ka anjaam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain har simt dekho chaahne waale hein aapke bakhsha hai rab ne tumko ye in'aam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain jab tak hai jaan jism mein mojood humaare karte rahenge zikr subh-o-shaam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain maalik bana ke hashr mein naana pilaaenge kausar ke mithe mithe tumhein jaam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain

Hum Husain wale hein Lyrics / हम हुसैन वाले हैं / ہم حسین والے ہیں

hum husain waale hein jaam-e-gham pilaate hein, hum husain waale hein dil ko jagmagaate hein, hum husain waale hein raah-e-haq dikhaate hein, hum husain waale hein 'ishq hum sikhaate hein, hum husain waale hein faatima ke laalo.n ka, sadqa aaj bhi hum log karbala se paate hein, hum husain waale hein siddiq-o-umar usmaa.n ka wazifa pad pad kar raafzi bhagaate hein, hum husain waale hein faatima, hasan, haidar, ka wazifa pad pad kar naasbi bhagaate hein, hum husain waale hein apni mahfilon mein hum, zikr-e-mu'aawiya kar ke shiyo.n ko jalaate hein, hum husain waale hein lashkar-e-yazeedi hum, kasrat ke nahi.n qaaeel hum bahattar waale hein, hum husain waale hein dekh kar jawaa.n-mardi, murtaza ke shero.n ki aa'da thartharaate hein, hum husain waale hein 'abbas-o-'ali akbar, zainab-o-'ali asghar in sabhi ke naare hein, hum husain waale hein gaus-o-khwaaja-o-ashraf, saabir-o-raza akhtar sab yahi pukaare hein, hum husain waale hein aaj bhi muharram mein, yaad-e-ka...

Ahle Dil ki sada, Husain Husain Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

  ahl-e-dil ki sada, husain husain chhin gayi hai har khushi aa jaaiie aa jaaiie ro rahi hai zindagi aa jaaiie aa jaaiie dushmanon ne gair rakkha hai yazeedon ki tarha ya husain ibn-e-'ali ! aa jaaiie aa jaaiie ya husain ! ya husain ! ya husain ! ya husain ! aap ke sabr ke saamne bil-yaqeen aur kisi sabr ki kuchh haqiqat nahin aap ki yaad mein, main hi girya nahin roti hai aaj tak karbala ki zameen pahele zainab ke do laal qurbaan hue fir hasan ke jawaan-saal qurbaan hue wo jawaan-saal qaasim jo dulha bana jiska sahera abhi sar se utra na tha taair-e-ishq ko jisne par de diya jisne ye keh ke sajde mein sar de diya ya husain ! ya husain ! ya husain ! ya husain ! ahl-e-dil ki sada, husain husain maula husain husain naaraa-e-auliya husain husain maula husain husain husn ki ibtida husain husain ishq ki intiha husain husain ya husain ! ya husain ! ya husain ! ya husain ! soyi qismat na jaage fir kehna keh ke dekho zara husain husain maula husain husain mujhse tufaan kyun na katr...

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Roman(Eng):  chaahate aap to khud daud kar aata paani ya husain ! aapki thokar se nikalta paani kya thi aukaat pila deta jo dariya paani mere abbas ne dariya ko pilaaya paani aasmaa.n ! gar tujhe shabbir ishaara karte dil ye kehta hai ke din-raat barasta paani ediyaa.n apni zamee.n par jo ragadte asghar karbala tere sambhale na sambhalta paani itne tardast the abbas ke dono.n baazu padh gaya jiske bhi usne nahi.n maanga paani kaun kehta hai ke paani ke the pyaase shabbir sach to ye hai ke tha shabbir ka pyaasa paani tujhpe so jaan hai qurbaan meri aye asghar ! teri himmat ne yazidiyo.n ko pilaaya paani ya 'ali sher-e-KHuda ! aapke bete shabbir hukm de dete to suraj bhi ugalta paani हिंदी(Hindi) :  चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी या हुसैन ! आपकी ठोकर से निकलता पानी क्या थी औक़ात पिला देता जो दरिया पानी मेरे 'अब्बास ने दरिया को पिलाया पानी आसमां ! गर तुझे शब्बीर इशारा करते दिल ये कहता है के दिन-रात बरसता पानी एड़ियां अपनी ज़मीं पर जो रगडते असगर कर्बला तेरे सम्भाले ...

Mein hun Husaini bachpan se Lyrics || Tahir Qadri

Image
Dam Dam Husain Maula Husain Mein Husaini hun Mein Husaini hun Sab Husaini Husain Husain karein Jab se hosh sambhala hai Maa ne Hamein samjaya hai Samaj mein aaya Us Din se Mein hun Husaini bachpan se Aaj Yazeedi tola Tu Isko Jannati manta hai Sab Dollar ka chakkar hai Halanki Haq janta hai Ye sab kamai ke dhandhe hein Sab Dollar ka chakkar hai Aaj Yazeedi tola Tu Isko Jannati manta hai Sab Dollar ka chakkar hai Halanki Haq jante hein Sare Ayimma ka Fatwa Yazeed Kafiro Fasik hai Fatwa dikhaun kin kin se Mein hun Husaini bachpan se Jab se hosh sambhala hai Maa ne Hamein samjaya hai Samaj mein aaya Us Din se Mein hun Husaini bachpan se Nazre Karam jo Hurr pe hui Unki Kismat jag uthi Shah ne jab kuchh farmaya Dil ki kaya palat gayi Hurr ye sab ko batate hein Jannat Aese pate hein Sada lagayi ye Rann se Mein hun Husaini bachpan se Jab se hosh sambhala hai Maa ne Hamein samjaya hai Samaj mein aaya Us Din se Mein hun Husaini bachpan se Sab Husain...

Aaya na hoga Is Tarha Rango Shabaab ret par Lyrics

Aaya na hoga Is Tarha Rango Shabaab ret par Gulshane Faatima ke the Saare Gulaab ret par Jaane Batul ke Siwa koi nahin khila saka Katara-e-Aab ke bigair Itne Gulaab ret par Tarse Husain Aab ko Mein Jo kahun be-Adab Lamse Labe Husain ko Tarsa hai Aab ret par Ishq mein Kya Lutaeeye Ishq mein Kya Bachaeeye Aale Nabi ne likh diya Saara Nisaab ret par Lazzate Sozeeshe Bilaal Shoqe Shahadate Husain Jisne liya yunhi liya Apna Khitaab ret par Jitne Suwaal Ishq ne Aale Rasool se kiye Ek se badh kar Ek diya Sab ne Jawaab ret par Aale Nabi ka Kaam tha Aale Nabi hi kar gaye Koi na Likh saka Adee esi Kitaab ret par

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Al Madad Peerane Peer Gause Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein / क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में / کیوں آکے رو رہا ہے محمد کے شہر میں