Posts

Showing posts with the label husain

Fatima ki Dua ka Asar hai Husain Lyrics / फ़ातिमा की दुआ का असर है हुसैन / فاطمہ کی دعا کا اثر ہے حسین

fatima ki dua ka asar hai husain ya husain! maula husain! ya husain! maula husain! nabi ka lakhte jigar, noor-e-‘ain likh dena ali ka laadla, zahra ka chain likh dena kisi bhi daur mein mazloom ki himayat mein zameen-e-zulm-o-sitam par husain likh dena fatima ki dua ka asar hai husain haidari sher hai aur nidar hai husain hai gawaah ispe maidan-e-karbobala aa rahi hai ye tareekh se bhi sada zer gustakh hai aur zabar hai husain haidari sher hai aur nidar hai husain maula imaam husain, maula imaam husain maula imaam husain, maula imaam husain ho bayaan kaise fazl-o-kamaal-e-husain har jagah hai nabi ko khayaal-e-husain hain nabi sajde mein, pusht par hain husain haidari sher hai aur nidar hai husain ibn-e-saad o shimr ho ya ibn-e-ziyaad ibn-e-haidar ke dushman hain sab bad-nihaad mar gaye saare, zinda magar hai husain haidari sher hai aur nidar hai h...

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam ya husain ya husain ya husain ya husain kar liya nosh jisne shahadat ka jaam us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam assalaam aye husain ibn-e-haidar assalaam aye husain ibn-e-haidar jinko dhokhe se kufe bulaya gaya jinko baithe bithaye sataya gaya jinke bachon ko pyasa rulaya gaya jinki gardan pe khanjar chalaya gaya us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam assalaam ya husain, assalaam ya husain assalaam ya husain, assalaam ya husain jinka jannat se joda mangaya gaya jinko dosh-e-nabi pe bithaya gaya zeher bhai ko jiske pilaya gaya jisko teeron se chhalli karaya gaya assalaam aye husain ibn-e-haidar assalaam aye husain ibn-e-haidar jisne haq karbala mein ada kar diya apne nana ka wada wafa kar diya sab kuch ummat ki khaatir fida kar diya ghar ka ghar bhi supurde khuda kar diya us husain ibn-e-hai...

Mera Maula Maula Husain hai Lyrics / मेरा मौला मौला हुसैन है / میرا مولا مولا حسین ہے

mera maula maula husain hai Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri mera maula maula husain hai mera maula maula husain hai jo hua nawasa-e-mustafa wo ali ka beta husain hai jo yazidiyat ko fanaah kare shahe karbala wo husain hai bibi fatima ka wo ladla mera badshah wo husain hai mera maula maula husain hai mera maula maula husain hai kya sunaun waqia-e-karbala haaye teer neza kahaan laga jise chumte rahe mustafa wo husaini sar tha kata hua saara ghar ka ghar bhi luta diya wo jo kar gaya wo husain hai mera maula maula husain hai mera maula maula husain hai yahi bole hazrat-e-hurr shaha ya husain aap ka shukriya ke yazidiyon se nikal kar jo husainiyon mein bitha diya mujhe manzilon ka pata diya mera rehnuma wo husain hai mera maula maula husain hai mera maula maula husain hai wo bhi banda kitna ajeeb hai jo kahe yazeed...

Husain Mere hein Lyrics /हुसैन मेरे हैं / حسین میرے ہیں

husain mere hain Naat-Khwaan: Hafiz Ahmed Raza Qadri maula husain hai mera maula husain hai husaino minni wa ana minal husain husaino minni wa ana minal husain mujhe hai naaz ke maula husain mere hain yahi to kehti hai duniya husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain ye rukh hawa-e-zamana ka jisne fera hai tera wo ek hi sajda husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain qaza ke baad fir mujhe nayi hayat mil gayi azaab se aur taab se mujhe nijaat mil gayi sawaal jab kiya gaya to maine keh diya husain hain maula husain hai mera maula husain hai unhi ke naam ka taweez pahenu khushboo kar milega deen ka jazba husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain husain mere hain dahan husain ka aur thi zabaan aaqa ki labon ka lete the bosa husain m...

Panjatan ke gharane ki kya baat hai Lyrics / पंजतन के घराने की क्या बात है / پنجتن کے گھرانے کی کیا بات ہے

panjatan ke gharane ki kya baat hai panjatan ke gharane ki kya baat hai panjatan ke gharane ki kya baat hai ibn-e haidar ne dushman ko ruswa kiya panjatan ke gharane ki kya baat hai de ke sar deen ko phir se zinda kiya panjatan ke gharane ki kya baat hai ya husain ibn-e haidar karam kijiye phir se aisa mujahid ata kijiye kar de fitnon ka duniya se jo khatama panjatan ke gharane ki kya baat hai mera abbas jo ke alamdaar hai zakhm hai, pyaas hai, phir bhi sardaar hai zakhm khaye hain phir bhi na shikwa kiya panjatan ke gharane ki kya baat hai wo shabih-e nabi akbar-e naujawan jinke zakhmon pe roye zameen aasmaan karbala ki zameen pe jo qurbaan hua panjatan ke gharane ki kya baat hai naaz furqan nisbat pe apni karo unki ta'zeem har aan karte raho kaam aayega mahshar mein ye waasta panjatan ke gharane...

Ya Husain Ibne Ali Aap par lakhon Salam Lyrics /| या हुसैन इब्ने अली आप पर लाखों सलाम / یا حسین ابنِ علی آپ پر لاکھوں سلام

ya husain ibne ali aap par lakhon salaam ya husain ibne ali aap par lakhon salaam aap hein aale nabi aap par lakhon salaam pite paani aap to hoti mehshar mein zaroor aabe kausar mein kami aap par lakhon salaam kufiyon ne aap par jo kiye zulm-o-sitam aisa na dekha kabhi aap par lakhon salaam raaste bhi band kiye paani bhi roka gaya aah! re ye sangdili aap par lakhon salaam hai dua sarkaar se haazireen-e-bazm ko aap na bhulein kabhi aap par lakhon salaam aap ka altaf hai deeno duniya mein huzoor aap na bhulein kabhi aap par lakhon salaam या हुसैन इब्ने अली आप पर लाखों सलाम या हुसैन इब्ने अली आप पर लाखों सलाम आप हैं आले नबी आप पर लाखों सलाम पीते पानी आप तो होती महशर में ज़रूर आबे कौसर में कमी आप पर लाखों सलाम कूफ़ियों ने आप पर जो किए ज़ुल्म-ओ-सितम ऐसा न देखा कभी आप पर लाखों सलाम रास्ते भी बंद किए पानी भी रोका गया आह! रे ये संगदिली आप पर ...

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam teer laga nanhe asghar ko, phool sa chehra murjhaaya dekh shaherbanu, bachche ko god mein leke farmaaya hoze kausar ka pee lena jaam, aapko salaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam jabr ke aage sabr khada tha, zulm-o-sitam ko rok kar jinko hua deedaar khuda ka, khanjar ki us nok par dekho shaheedon ka hai ye maqaam, aapko salaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam jinki peshaani ka bosa pyaare nabi farmaate the bachpan mein jibraeel-e-ameen bhi jhula jhulaane aate the wo hain nawaasa-e-khairul anam, aapko salaam ya husain ibne ali kehte hain ye saare ghulaam sab ghulaam aapko salaam, aapko salaam aye husain ibne ali, zohra ke dilbar assalaam aye shaheed-e-karbala, aye deen ke raahbar assalaam karbala mein aapne haq ke liye hai ...

Ek Fatima ke laal ko pani nahin diya Lyrics / एक फ़ातिमा के लाल को पानी नहीं दिया है / ایک فاطمہ کے لال کو پانی نہیں دیا ہے

ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai ek katra nahin tauheed ke pyaase ke liye band hai naher muhammad ke nawase ke liye khoon-e-shabbir se mehnga hua bartar paani kaun de aabide beemaar ko laakar paani saqī-e-kausar o tasneem hai jiska naana karbala mein hai wahi teen dinon ka pyaasa badla laeen tune kis jurm ka liya hai ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai mashk thāme hue abbaas alamdaar chale naher ki simt wo paani ke talabgaar chale lashkar-e-shimr ne ki teeron ki baarish itni ho gaye hazrat-e-abbaas ke baazu chhalli ae sitamgar tera is par bhi kaleja na hila haa'e nanhi si sakiina ko bhi paani na diya ye charkh kya karega sitam tune jo kiya hai ek fatima ke laal ko paani nahin diya hai ek fa...

Roshan sada rahega tera naam ya husain Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

roshan sada rahega tera naam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain kyunki kiya hai aapne wo kaam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain mitti mein mil gaye sabhi kutte yazeed ke zinda hein aap, aap ka islaam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain khuld-e-bari pe qabzaa-o-shaahi hai aapki zillat hui yazeed ka anjaam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain har simt dekho chaahne waale hein aapke bakhsha hai rab ne tumko ye in'aam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain jab tak hai jaan jism mein mojood humaare karte rahenge zikr subh-o-shaam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain maalik bana ke hashr mein naana pilaaenge kausar ke mithe mithe tumhein jaam ya husain roshan sada rahega tera naam ya husain

Ahle Dil ki sada, Husain Husain Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

  ahl-e-dil ki sada, husain husain chhin gayi hai har khushi aa jaaiie aa jaaiie ro rahi hai zindagi aa jaaiie aa jaaiie dushmanon ne gair rakkha hai yazeedon ki tarha ya husain ibn-e-'ali ! aa jaaiie aa jaaiie ya husain ! ya husain ! ya husain ! ya husain ! aap ke sabr ke saamne bil-yaqeen aur kisi sabr ki kuchh haqiqat nahin aap ki yaad mein, main hi girya nahin roti hai aaj tak karbala ki zameen pahele zainab ke do laal qurbaan hue fir hasan ke jawaan-saal qurbaan hue wo jawaan-saal qaasim jo dulha bana jiska sahera abhi sar se utra na tha taair-e-ishq ko jisne par de diya jisne ye keh ke sajde mein sar de diya ya husain ! ya husain ! ya husain ! ya husain ! ahl-e-dil ki sada, husain husain maula husain husain naaraa-e-auliya husain husain maula husain husain husn ki ibtida husain husain ishq ki intiha husain husain ya husain ! ya husain ! ya husain ! ya husain ! soyi qismat na jaage fir kehna keh ke dekho zara husain husain maula husain husain mujhse tufaan kyun na katr...

main to panjtan ka ghulam hun lyrics / मैं तो पंजतन का ग़ुलाम हूँ / میں تو پنجتن کا غلام ہوں

Image
main to panjtan ka ghulam hu.n mai.n to panjtan ka ghulaam hu.n, mai.n ghulam-e-ibn-e-ghulaam hu.n mujhe 'ishq hai to KHuda se hai, mujhe 'ishq hai to rasool se ye karam hai saara batool ka, mere mu.nh se aaye mahek sada jo mai.n naam lu.n tera jhoom ke mai.n to panjatan ka ghulam hu.n mujhe 'ishq sarw-o-saman se hai, mujhe 'ishq saare chaman se hai mujhe 'ishq unke badan se hai, mujhe 'ishq unki gali se hai mujhe 'ishq hai to 'ali se hai, mujhe 'ishq hai to hasan se hai mujhe 'ishq hai to husain se, mujhe 'ishq shaah-e-zaman se hai mai.n to panjtan ka ghulaam hu.n hua kaise tan se wo sar juda, jahaa.n 'ishq ho wahi.n karbala meri baat unhi.n ki baat hai, mere saamne wo hi zaat hai wo hi jinko sher-e-KHuda kahei.n, jinhei.n baab-e-sall-e-'ala kahei.n wo hi jinko aal-e-nabi kahei.n, wo hi jinko zaat-e-'ali kahei.n wo hi pukhta hei.n, mai.n to khaar hu.n mai.n to panjtan ka ghulaam hu.n mai.n qamar hu.n s...

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Al Madad Peerane Peer Gause Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein / क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में / کیوں آکے رو رہا ہے محمد کے شہر میں