Naate Mustafa sun kar Rooh jab machalti hai Lyrics || नाते मुस्तफा सुन कर रूह जब मचलती है || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI)


Roman(ENG):


Naate Mustafa sun kar Rooh jab machalti hai
Aashiqon ke chehre se Chaandani nikalti hai

Unke sadqe khaate hein Unke sadqe pite hein
Mustafa ki chokhat se qaaynat palti hai

Thaam kar Shahe Deen ki Rehmaton ki ungli ko
Jannate Muhabbat mein Zindagi tahelti hai

Kaash wo nazar aate khwaab ke dariche se
Meri deeda-e-hasrat pahero aankh malti hai

Lafze Kunn ke jalwe mein Mustafa ka jalwa hai
Noor-e-Mustafaee mein kaaynat dhalti hai





हिंदी (HINDI):



नाते मुस्तफा सुन कर रूह जब मचलती है
आशिकों के चेहरे से चाँदनी निकलती है

उनके सदक़े खाते हैं, उनके सदक़े पीते हैं
मुस्तफा की चौखट से क़ायनात पलती है

थाम कर शहे दीं की रहमतों की ऊँगली को
जन्नते महोब्बत में ज़िन्दगी टहलती है

काश वो नज़र आते ख्वाब के दरीचे से
मेरी दीदा-इ-हसरत पहेरो आँख मलती है

लफ़्ज़े कुन्न के जलवे में मुस्तफा का जलवा है
नूरे मुस्तफ़ाई में क़ायनात ढलती है




More Miladunnabi Naat Lyrics:

Click For More Miladunnbi Naats

Comments

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics