Aah ! har lamha gunah ki kasrato bharmar hai Lyrics

Aah ! har lamha gunah ki kasrato bharmar hai
Galba e shaitan hai aur nafse bad-atwar hai

Mujrimon ke waste dozakh bhi sho'ala baar hai
Har gunah kasdan kiya hai iska bhi ikrar hai

Haaye na-farmaniyan bad-kariyan be-bakiyan
Aah ! naame mein gunahon ki padhi bharmar hai



Chhup ke logon se gunahon ka raha hai silsila
Tere aage Ya khuda ! har jurm ka iz'har hai

Ya khuda rehmat teri haawi hai tere kehr par
Fazlo rehmat ke sahare jee raha badkar hai

Banda e badkar hun be-had zaleelo khaar hun
Magfirat farma Ilahi ! Tu bada Gaffar hai

Ab sare balein khudara muskurate aaeeye
Jaan balab shahe madina talibe deedar hai

Gusl dene ke liye gassal bhi ab aa chuka
Gusle mayyat ho raha hai aur kafan tayyar hai

Ya nabi ! pani se saara jism mera dhul gaya
Naama e aa'mal ko bhi gusl ab darkar hai

Laad kar kandhon pe ahbab aah ! kabristan chale
Wasite tadfeen ke gehra ghada tayyar hai

Qabr mein mujko lita kar aur mitti dal kar
Chal diye sathi na paas ab koi rishtedar hai

Khwab mein bhi aesa andhera kabhi dekha na tha
Jesa andhera hamari qabr mein sarkar hai

Tune duniya mein bhi aybon ko chhupaya ya khuda !
Hashr mein bhi laaj rakh lena ke tu sattar hai

Nekiyan palle nahin aaqa shafa'at kihiye
Aapki nazare karam hogi to beda paar hai

Ya nabi ! Attar ko jannat mein de apna jawar
Wasita siddik ka jo tera yaare ghar hai

Kaash ho aesi madine mein kabhi to hazari
Ye khabar aaye watan mein mar gaya Attar hai



Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu