- Get link
- X
- Other Apps
Roman(Eng) :
zaaeer-e-taiba roze pe jaa kar , tu salaam unse ro-ro ke kehnamere gham ka fasaana suna kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
teri qismat pe rashk aa raha hai, tu madine ko tu jaa raha hai
aah ! jaata hai mujhko rula kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
jab pahunch jaaye tera safeena, jab nazar aaye meetha madina
ba-adab apne sar ko juka kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
jab ke aaye nazar pyaara makka, chum lena nazar se tu kaa'ba
ho sake gar to har jaa pe jaa kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
tu 'arab ki hasee.n waadiyo.n ko, regzaaro.n ko aabadiyo.n ko
meri jaaneeb se palke.n bichha kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
jab ke pesh-e-nazar jaaliyaa.n ho.n, teri aankho.n se aansu rawaa.n ho.n
mere gham ki kahaani suna kar, Tu Salam Unse ro ro ke kehna
aamena ke dulaare ko pahele, ba'ad shaikhain ko bhi tu keh le
fir baqee-e-mubaarak pe jaakar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
maangana mat tu duniya ki daulat, maangana unse bas unki ulfat
Khub deewaane dil ko laga kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
mere aaqa ke mehraab-o-mimbar, unki masjid ki deeware.n aur dar
qalb ki aankh un par jamaa kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
pyaari-pyaari wo jannat ki kyaari, chum lena nigaaho.n se saari
bahr-e-rahmat me.n gota laga kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
sabz gumbad ke dilkash nazaare, rooh-parwar wahaa.n ke minaare
unke jalwo.n me.n khud ko ghuma kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
wo shahido.n ke sardaar Hamzah, aur jitne wahaa.n he.n sahaaba
tu sabhi ki mazaaro.n pe ja kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
kehna attar aye shah-e-'aali ! hai fakat tujhse tera suwaali
tu suwaal us ka pura shaha ! kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna
हिंदी (Hindi):
ज़ाइर-ए-तैबा रोज़े पे जा कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहनामेरे ग़म का फ़साना सुना कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
तेरी क़िस्मत पे रश्क आ रहा है, तू मदीने को तू जा रहा है
आह ! जाता है मुझको रुला कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
जब पहुँच जाए तेरा सफीना, जब नज़र आये मीठा मदीना
बा-अदब अपने सर को जुका कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
जब के आये नज़र प्यारा मक्का, चुम लेना नज़र से तू का'बा
हो सके गर तो हर जा पे जा कर, तू सलाम उनसे रो रो के कहना
तू 'अरब की हसीं वादियों को, रेगज़ारों को आबादियों को
मेरी जानिब से पलकें बिछा कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
जबकि पेश-ए-नज़र जालियां हों, तेरी आँखों से आंसू रवां हों
मेरे गम की कहानी सुना कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
आमेना के दुलारे को पहले, बाद शेख़ैन को भी तू कह ले
फिर बक़ी-ए-मुबारक पे जा कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
माँगना मत तू दुनिया की दौलत, माँगना उनसे बस उनकी उल्फत
खूब दीवाने दिल को लगा कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
मेरे आक़ा के मेहरब-ओ-मिम्बर, उनकी मस्जिद की दीवारें और दर
क़ल्ब की आँख उन पर जमा कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
प्यारी-प्यारी वो जन्नत की क्यारी, चुम लेना निगाहों से सारी
बहर-ए-रहमत में गोता लगा कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
सब्ज़ गुम्बद के दिलकश नज़ारे, रूह परवर वहां के मीनारे
उनके जलवों में खुद को गुमा कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
वो शहीदों के सरदार हम्ज़ा, और जितने वहाँ हैं सहाबा
तू सभी की मज़ारों पे जा कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
कहना अत्तार अये शाहे आली ! है फकत तुजसे तेरा सुवाली
तू सुवाल इसका पूरा शहा कर, तू सलाम उनसे रो-रो के कहना
: (URDU) اردو
زائرِ طیبہ ! روزے پے جا کر ، تو سلام انسے رو رو کے کہنا
میرے غم کا فسانہ سنا کر ، تو سلام ان سے رو رو کے کہنا
تیری قسمت پے رشک آ رہا ہے ، تو مدینے کو اب جا رہا ہے
آہ ! جاتا ہے مجھکو رُلا کر، تو سلام ان سے رو رو کے کہنا
جب پہنچ جاۓ تیرا سفینہ ، جب نظر آے میٹھا مدینہ
با ادب اپنے سر کو جھکا کر ، تو سلام ان سے رو رو کے کہنا
جب کے آے نظر پیارا مکّہ ، چوم لینا نظر سے تو کعبہ
ہو سکے گر تو ہر جا پے جا کر ، تو سلام ان سے رو رو کے کہنا
تو عرب کی حسیں وادیوں کو ، ریگزاروں کو آبادیوں کو
میری جانب سے پلکیں بچھا کر، تو سلام ان سے رو رو کے کہنا
جب کے پیشِ نظر جالیاں ہوں، تیری آنکھوں سے آنسو رواں ہو
میرے غم کی کہانی سنا کر ، تو سلام ان سے رو رو کے کہنا
آمِنا کے دلارے کو پہلے ، بعد شیخین کو بھی تو کہ لے
پھر بقیع مبارک پے جا کر ، تو سلام ان سے رو رو کے کہنا
مانگنا مت تو دنیا کی دولت، مانگنا ان سے بس ان کی الفت
خوب دیوانے دل کو لگا کر ، تو سلام ان سے رو رو کے کہنا
میرے آقا کے محراب و ممبر ، ان کی مسجد کے دیوار اور در
قلب کی آنکھ ان پر جما کر تو سلام ان سے رو رو کے کہنا
More Lyrics :
dawat e islami
Haji Mushtak
hindi
ilyas qadry naat
roman
Z
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا
Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se, beta mera dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana dulha bana inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana dulha bana tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana dulha bana meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana dulha bana is tarha mehka kare ye gh...
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Ya Nabi Salam Alaika Ya Rasool Salam Alaika Lyrics / All Versions / या नबी सलाम 'अलैक या रसूल सलाम 'अलैक
ya nabi salaam 'alaik, ya rasool salaam 'alaik rabb-e-sallim 'ala rasulallah marhaba marhaba rasulallah ya nabi salaam 'alaik, ya rasool salaam 'alaik ya habeeb salaam 'alaik, salawaatulla 'alaik rahmato.n ke taaj waale! do jahaa.n ke raaj waale! 'arsh ki me'raaj waale! aasiyo.n ki laaj waale! ya nabi salaam 'alaik, ya rasool salaam 'alaik ya habeeb salaam 'alaik, salawaatulla 'alaik hai tamanna ye KHuda se kahi.n, aisa howe hind se fir soo-e-madina, mera jaana howe roza-e-paak ke chogird firu.n main aisa jaise parwaana sar-e-sham' pe firta howe hu.n main mushtaq-e-ziyaarat, ye tamanna hai shaha! puri allah meri, ab ye tamanna howe ...
Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है
kya bataun ki kya madina hai kya bataun ki kya madina hai bas mera mudda'aa madina hai uth ke jaaun kahan madine se kya koi dusra madina hai kya bataun ki kya madina hai uski aankhon ka noor to dekho jiska dekha hua madina hai kya bataun ki kya madina hai dil mein ab koi aarzu hi nahin ya muhammad hai ya madina hai kya bataun ki kya madina hai duniya wale to dard dete hein zakhmi dil ki dawa madina hai kya bataun ki kya madina hai mere aaqa! mujhe bula lijiye mujhko bhi dekhna madina hai kya bataun ki kya madina hai dil fida hai madine wale pa...
Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام
shaah-e-do 'aalam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam karo duur har Gam salaam assalaam har aankh hoke pur-nam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam a Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam rabb ne baDe pyaar se me'raaj me.n kahaa rahne do naa'lain ko aa jaao mustafaa qadam-e-mustafaa ka liyaa arsh ne bosaa jhuum uthe saare malaa.ik o marhabaa maa.nge jo nabii rab ne vo diyaa rab ne jo diya, nabii ne vo liyaa jhuuka 'arsh-e-aa'zam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam aapne jo kar diyaa u.nglii ka ishaaraa chaand do tukDe hua qurbaan ho gayaa jab namaaz-e-'asr 'ali ki hui qazaa aapne suraj ko dubaaraa palat diyaa aap jo kiye, mo'jize bane aap ...
Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai Naat-Khwaan: Zohaib Ashrafi Laiba Fatima wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai firdaus-e-bari jiske wasile se bani hai wo haashmii makki madani ul 'arabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai ahmad hai mohammad hai wah KHatm-e-rasuul hai maKHduum o murabbii hai wahi vaalii-e-kul hai us par hi nazar saare zamane ki lagi hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wash-shams o wad-duHa chehra-e-anwar ki jalak hai wal-layl saza gesuu-e-hazrat ki latak hai 'aalam ko ziya uske wasile se mili hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai allah ka farman "alam-nashrah la-ka sadrak" mansuub hai "wa-raf'aana la-ka zikrak" jis zaat ka quraan me.n bhi zikr-e-jalii hai wo mera nab...
Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ
madine ke aaqa ! salamun 'alaik madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik zamee.n me.n muhammad, zamaa.n me.n muhammad makee.n me.n muhammad, makaa.n mein Muhammad har ek shay me.n jalwa rasool-e-KHuda ka salamun 'alayk, salamun 'alayk madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik gunaaho.n ne gera . khataao.n ne gera musibat ne gera , balaao.n ne gera bacha lijiyega , bacha lijiyega salamun 'alayk, salamun 'alayk madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik hamari bhi qismat banaado nabiji nasibaa.n bhi soya jagaado nabiji hame.n apna roza dikhaa-dijiyega hame.n fir madina bula lijiyega salamun 'alayk, salamun 'alayk madine ke aaqa ! salamun 'alaik do 'aalam ke daata ! salamun 'alaik na daulat talab hai , na shohrat talab ha...
Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein / क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में / کیوں آکے رو رہا ہے محمد کے شہر میں
kyun aake ro rahaa hai muhammad ke shehar mein kyun aake ro rahaa hai muhammad ke shehar mein har dard ki dawaa hai muhammad ke shehar mein aao gunahgaaron chalo sar ke bal chalein tauba ka dar khula hai muhammad ke shehar mein kadmon ne unke khaak ko kundan banaa diya mitti bhi kimiya hai muhammad ke shehar mein sadqa luta rahaa hai khuda unke naam ka sona nikal rahaa hai muhammad ke shehar mein sab to jhuke hein khaana-e-kaaba ke saamne kaaba jhuka hua hai muhammad ke shehar mein saaya nahi hai gumbade khazra ka aaj bhi zinda ye mojzaa hai muhammad ke shehar mein aye raaz tu to hind mein maujood hai magar din raat pad rahaa hai muhammad ke shehar mein Full Lyrics ya nabi aap ke jalwon mein wo raanaaii hai dekhne par bhi meri aankh tamannaii hai haq ta-aala...







.png)


Mashallah subha allha,, jab bi Yeh naat padhti hon, dil tadph jata hai,, askh jari ho jate hai or ankhoo me bas madine ka manzar nazar aata hai, jab kbhi hajj ka kafila jata hai dil tadph jata Aaqa Hamein bi bula lijye, ab madina dikha dijye, apne daman me chupa liye, hum bi wo taiba ka nazare kare, waha ki galiya waha ka manzar dekhe, ameen
ReplyDeleteHo karam sarkar ab toh ho gye gum be-shumar
Jaan o dil tum pr phida hai aaye do jaha ke tajdar
Beshaq
DeleteAamin
DeleteKabhi to sabz gumbad ka nazara hum bhi dekhenge
Humein bulwaeinge Aaqa madina hum bhi dekhenge.
Beshaq subhanallah
DeleteMoula ham ko bhi bolalo na apna darbar me tarase te hai ye aka roza tumahara dekhane ko kab bolaegae mere aqa
ReplyDeleteComment karne se kuch bhi nai hota
DeleteNamaz padho dua karo roro ke allah se
Ye jitne bhi log comment karrahe hai unlog pehle dua karo
Aameen ham ko bolana ya Rasool allha
ReplyDeleteAmeen
ReplyDeleteMashallha y'allah hame bhi madine ki thandi hawaon ka deedar aata farma ..Ameen .Shabz
ReplyDeleteSnap deal is advertising womens wearing inappropriate dress. Kindly cancel Snapdeal advertisement.
ReplyDelete