Posts

Showing posts with the label Haji Mushtak

Image

Qadira Sarwara rehnuma dastagir Lyrics / क़ादिरा सरवारा रहनुमा दस्त-गीर

qaadira, sarwara, rahnuma, dastgeer qaadira, sarwara, rahnuma, dastgeer ghaus-e-aa'zam imaam-e-mubiin ! be-nazir ! al-madad dast-geer al-madad dast-geer zikr se tere tal jaaein sab mushkilein naam se tere paaen rihaaee aseer al-madad dast-geer al-madad dast-geer tere zer-e-qadam auliya asfiya sarwar-e-sarwaran peer-e-roshan zameer al-madad dast-geer al-madad dast-geer tu jise chaahe de, jis qadar chahe de teri bakhshish niraali, 'ataa be-nazeer al-madad dast-geer al-madad dast-geer tu hai aaeena-e-siirat-e-mustafa tu 'aleem-o-khabiir-o-basheer-o-nazeer kuchh nahin chaahte aur tere siwa kaise sultaan hein tere dar ke faqeer al-madad dast-geer al-madad dast-geer ye wazifa hai har gham ka darmaan waqaar ghaus-e-aa'zam madad al-madad dast-geer al-madad dast-geer al-madad dast-geer क़ादिरा सरवारा रहनुमा दस्त-गीर क़ादिरा सरवारा रहनुमा दस्त-गीर गौस-ए-आ'ज़म इमामे मुबीं बे-नज़ीर अल मदद...

Fajr ka waqt ho gaya uttho Sada e madina Lyrics / फज्र का वक़्त हो गया उठो सदा-ए-मदीना

fajr ka waqt ho gaya uttho fajr ka waqt ho gaya uttho aye gulamane mustafa uttho jaago jaago aye bhaiyon behno chhodo chhodo ab bistara uttho tumko hajj ki khuda sa'aadat de jalwa dekho madine ka uttho uttho zikre khuda karo uthkar dil se lo naame mustafa uttho bhaiyon uth kar ab wuzu karlo aur chalo khaana-e-khuda uttho nind se to namaz behtar hai ab na mutlak bhi letna uttho jald uttho bhi ab khade ho jaao aankh shaitan na de laga uttho jago jago namaz gaflat se karna betho kahin kaza uttho yaad rakho namaz gar chhuti qabr me paaoge sazaa uttho nind mehngi padegi mehshar mein hoga naaraz kibriya uttho sab madine ko ja rahe hein lo tum bhi tayba ka rasta uttho mujko dena na pai paisa tum main hu talib sawab ka uttho main bhikhari nahi hun dar dar ka main hun sarkar ka gada uttho main sada-e-madina deta hun tumko taiba ka waasta uttho tumko deta hai ye dua attar ...

Bara Rabiul Awwal Ke Din Abre Baharan chhae Lyrics / बारा रबीउल अव्वल के दिन अब्रे बहाराँ छाए

bara rabiul awwal ke din abre baharaan chhaae bara rabiul awwal ke din abre baharaan chhaae mere sarkar aaye mere sarkar aaye aamena tere ghar aa kar jibreel payaam yeh laaye mere sarkar aaye mere sarkar aaye door hua duniya se andheraa, aaye aaqa hua saweraa abdullah ke ghar aangan, khusiyon ke baadal chhaye mere sarkar aaye mere sarkar aaye sookhi thin gulshan mein kaliyaan sooni thin makke ki galiyaan unke qadam se chaaron jaanib ho gaye noor ke saaye mere sarkar aaye mere sarkar aaye jo hai sab nabiyon ke rehbar, saare masiha, khalq ke rahbar jholi bharna kaam hai jinka aaj woh daata aae mere sarkar aaye mere sarkar aaye mushkil teri tal jaayegi, sookki kheti phal jaayegi daaee halima tere soye bhaag jagane aae mere sarkar aaye mere sarkar aaye mujh ko milaa paigam yeh mohsin duniya ko batla de mohsin jo hai nabi ka chaahne waala apne ghar ko sajaae mere sark...

Mujhko darspesh hai phir Mubarak safar Naat Lyrics / मुझको दरपेश है फिर मुबारक सफर / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

mujhko darspesh hai phir mubaarak safar mujhko darspesh hai phir mubaarak safar qaafila phir madine ka tayyaaar hai nekiyon ka nahin koi tosha fakat meri jholi mein ashkon ka ek haar hai koi sajdon ki sogaat hai na koi zohd-o-taqwa mere paas sarkaar hai chal pada hun madine ki jaanib magar haae ! sar par gunaahon ka ambaar hai jurmon isyaan pe apne lajaata hua aur 'ashke nadaamat bahaata hua teri rahmat pe nazrein jamaata hua dar pe haazir ye tera gunahgaar hai tera saani kahaan shaah-e-kaun-o-makaa.n mujhsa aasi bhi ummat mein hoga kahaa.n tere 'afw-o-karam ka shah-e-do jahaa.n kya koi mujhse bad kar bhi haqdaar hai mujrimo.n ko shaha ! bakhshwaata hai tu saari ummat ki bigdi banaata hai tu gham ke maaro.n ko sine lagaata hai tu gham-zado.n be-kaso.n ka tu gham-khwaar hai do tadapne ka aaqa kareena mujhe dedo khasta jigar chaak sina mujhe chashm-e-tar de do shaah-e-madina mujhe tere gham ka ye banda talabgar hai aatash-e-shauq mein kash jalta rahu.n aur khayal-e-madina m...

Teri rahamaton ka dariya Sare aam chal raha hai Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

teri rahmaton ka dariya sare aam chal raha hai teri rahmaton ka dariya sare aam chal raha hai mujhe bhik mil rahi hai mera kaam chal raha hai mere dil ki dhadkanon mein tere naam se hai ronak isi naam ki badolat mera naam chal raha hai ye karam hai khaas tera ke safina zindagi ka abhi subah chal raha hai abhi shaam chal raha hai sare arsh naam tera sare hashr baat teri kahi baat chal rahi hai kahi naam chal raha hai use manti hai duniya use dhundhti hai manzil rahe ishq-e-mustafa pe jo ghulam chal raha hai mere daman-e-gadai mein hai bhik mustafa ki isi bhik par to qasim mera kaam chal raha hai

Aye Saba Mustafa se keh dena Lyrics / अये सबा मुस्तफा से कह देना / اے صبا! مصطفیٰ سے کہہ دینا

Image
aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n Naat-Khwaan: Haji Mushtaq Attari aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n yaad karte hei.n tumko shaam-o-sahar, dil hamaare salaam kehte hei.n allah ! allah ! huzoor ki baatei.n, marhaba rang-o-noor ki baatei.n chaand jin par nisaar hota hai, aur taare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n jab muhammad ka naam aata hai, rahmato.n ka payaam aata hai lab humaare durood padte hei.n, dil humaare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n allah ! allah ! huzoor ke gaisu, bheeni-bheeni mahakti wo khushbu jin se maa'mur hai faza har-soo, wo nazaare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n zaaeer-e-taiba tu madine mei.n, pyaare aaqa se itna keh dena aap ki gard-e-raah ko aaqa ! be-sahaare salaam kehte hei.n a...

Zaeere Taiba Roze pe jaa kar Lyrics || जाइरे तैबा रोज़े पे जा कर in English Hindi Urdu

Roman(Eng) : zaaeer-e-taiba roze pe jaa kar , tu salaam unse ro-ro ke kehna mere gham ka fasaana suna kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna teri qismat pe rashk aa raha hai, tu madine ko tu jaa raha hai aah ! jaata hai mujhko rula kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna jab pahunch jaaye tera safeena, jab nazar aaye meetha madina ba-adab apne sar ko juka kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna jab ke aaye nazar pyaara makka, chum lena nazar se tu kaa'ba ho sake gar to har jaa pe jaa kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna tu 'arab ki hasee.n waadiyo.n ko, regzaaro.n ko aabadiyo.n ko meri jaaneeb se palke.n bichha kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna jab ke pesh-e-nazar jaaliyaa.n ho.n, teri aankho.n se aansu rawaa.n ho.n mere gham ki kahaani suna kar, Tu Salam Unse ro ro ke kehna aamena ke dulaare ko pahele, ba'ad shaikhain ko bhi tu keh le fir baqee-e-mubaarak pe jaakar, tu salaam unse ro-ro ke kehna maangana mat tu duniya ki daulat, maangana unse bas unki ulfat Khub deewaane dil ko laga...

Kab Gunaahon se Kinaara Mein karunga Ya Rab || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Roman(Eng) : Kab Gunaahon se Kinaara Mein karunga Ya Rab Nek Kab Aye Mere Allah ! Banunga Ya Rab Kab Gunaahon ke Maraz se Mein Shifa Paaunga Kab Mein bimaar Madine ka banunga Ya Rab Gar Tere Pyaar ka jalwa na raha Peshe-Nazar Sakhtiyaan Naz'aa ki kyun kar Mein sahunga Ya Rab Naz'aa ke waqt Muje jalwaa-e-Mehboob dikha Tera kya jaayega Mein shaad marunga Ya Rab Qabr mein gar na Muhammad ke nazaare honge Hashr tak kaise Mein fir tanha rahunga Ya Rab Dankh machhar ka bhi Mujse to saha jaata nahin Qabr mein bichhu ke dankh kaise sahunga Ya Rab Ghoop andhere ka bhi wahshat ka basera hoga Qabr mein kaise akela Mein rahunga Ya Rab Gar kafan faad ke saanpon ne jamaaya kabza Haaye barbaadi kahaan jaake chhupunga Ya Rab Haaye maamuli si garmi bhi sahi jaati nahin Garmi-e-Hashr Mein fir kaise sahunga Ya Rab Aaj banta hu mu'azzaz jo khule hashr mein ayeb Aah ! ruswaaee ki aafat mein fasunga Ya Rab Pul Siraat aah hai talwaar ki bhi dhaar se tez Kis tarha se M...

Bigdi Bhi Banayenge jalve bhi dikhaenge Lyrics / बिगड़ी भी बनाएँगे, जल्वे भी दिखाएँगे

bigdi bhi banaenge, jalwe bhi dikhaenge aa jayega taiba se bulaawa bhi kisi roz har waqt madine ki dua maang are maang na ho maayus are diwaanon pukaare jaao tum unko bulaeinge tumhein bhi ek din sarwar madine mein bigdi bhi banaenge, jalwe bhi dikhaenge gabraao na diwaanon sarkaar bulaeinge ham masjid-e-nabawi ke dekheinge minaaron ko aur gumbad-e-khazra ke pur-noor nazaron ko hum jaake madina fir waapas nahin aaeinge mil jaengi taabirein ek roz to khwabon ki gir jaeingi deewarein sab dekhna raahon ki hum roza-e-aqdas par jab aansu bahaeinge dil ishq-e-nabi mein ghum kuchh aur tadapne do is deed ki aatash ko kuchh aur fadak ne do hum tishna-dili jal kar zamzam se badhaeinge jab hashr ke maidaan mein ek hashr bapa hoga jab faisala ummat ka karne ko khuda hoga ummat ko shah-e-bat’ha daaman mein chhupaeinge lillah mere aaqa se roodaad meri kehna ...

Ratein bhi Madine ki Batein bhi Madine ki Lyrics

Ratein bhi Madine ki Batein bhi Madine ki Jine mein ye jina hai Kya baat hai jine ki Azmat ke mutabik jab alfaz nahin milte Tarif  kare  koi  kis  tarha   Madine   ki Ye zakhm hai Tayba ka ye sabko nahin milta Koshish na kare koi is zakhm ko sine ki Ye Apni Nigahon se Mastana banate hein Zahmat bhi nahin dete Maikhar ko pine ki Arsa hua Tayba ki Galiyon se ye guzre the Un Galiyon mein ab tak bhi khushbu hai pasine ki

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Imdad kun Imdad kun Lyrics | Ya Ghaus-e-Aazam Dastagir Lyrics / इमदाद-कुन इमदाद-कुन | या ग़ौस-उल-आ'ज़म दस्त-गीर

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा