Ho karam sarkar ab to ho gaye gham beshumar Lyrics
Ho karam sarkar ab to ho gaye gham beshumar
Jaano dil tum par fida ae do jahan ke taajdar
Mein akela aur masail zindagi ke beshumar
Aap hi kuchh kijiye na ae shahe aali waqar
Yaad aata hai tawafe khana e ka'ba muje
Aur lipatna multazam se walehana baar baar
Sange Aswad chum kar milta muje kayfo surur
Kaif paata dekh kar dil mustajabo mustajar
Ya khuda dikhla hateem e paak meezabo makam
Aur safa marwah muje bahere rasoole zi waqar
Ja raha hai kafila tayba nagar rota hua
Mein raha jata hun tanha ae habeebe kirdagar
Jald fir tum lo bula aur sabz gumbad do dikha
Fir tamanna e ziyarat ne kiya hai bekarar
Kafile walon suno yaad aaye to mera salam
Araz karna rote rote ho sake to baar baar
Chum kar khake madina jumta firta tha mein
Yaad aate hein madine ke muje laylo nahar
Gumbade Khazra ke jalwe aur wo iftariyan
Yaad aati hein bahot ramzane Tayba ki bahar
Kafile walon suno yaad aaye to mera salam
Araz karna rote rote ho sake to baar baar
Ya Rasulallah sun lijiye meri fariyad ko
Kaun hai jo ke sune tere siwa meri pukar
Gham-zada yun na hua hota Ubaide Qadary
Is baras bhi dekhta ghar sabz gumbad ki bahar
Comments
Post a Comment