Aakhri roze hein dil gamnak muztar jaan hai Lyrics

Aakhri roze hein dil gamnak muztar jaan hai
Hasrata wa hasrata ab chal diya ramzan hai

Aashikane maahe ramzaan ro rahe hein fut kar
Dil bada be chen hai afsurda rooho jaan hai

Al firako wal firak ae rabb ke mehmaan alfirak
Al firako wal firak ae maahe ramzaan alfirak
Al wada o wal wada tujko mahe ramzan hai

Teri kurfat mein dile usshak tukde ho gaya
Aur sina chak tere hijr mein ramzan hai

Dasatane gham sunaye kisko ja kar aah ham
Ya Rasulallah dekho chal diya ramzan hai

Wakte iftaro sahar ki ronakein hongi kaha
Chand din ke baad ye sara sama sumsam hai

Haaye sad afsos ramzaan ki na ham ne kadr ki
Be sabab hi bakhsh de ya rabb ke tu rehmaan hai

Sab musalmaan alwada kehte hein ro ro kar tuje
Aah chand gadiyon ka ab tu reh gaya mehmaan hai

Chand aansu nazr hein bas aur kuchh palle nahin
Nekiyon se aah ye khali mera daman hai

Kash aate saal ho Attar ko ramzaan nasib
Ya nabi mithe madine mein bada armaan hai


Comments

Post a Comment

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Eng & Hindi Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do alam Salam Assalam Lyrics