Posts
Showing posts with the label ahmad raza
- Get link
- X
- Other Apps
sare nabiyon mein hai jinki shan juda sare nabiyon mein hai jinki shan juda unpe bheje har dam duroodo salam khuda assalamu alayka ya rasulallah... assalamu alayka ya habibi ya nabiyallah ya rasulallah... miladun nabi ka jashna hai miladun nabi ka jashn hai miladun nabi ka jashna hai miladun nabi ka jashn hai sarware ambiya rahmate kibriya unki khushbu se mehke hain dono jahan jo hai noore khuda... nabi nabi nabi nabi khatamul ambiya... jo hai noore khuda khatamul ambiya jinki khatir khuda ne banaye jahan chhat gayi jinki aamad se kali ghata miladun nabi ka jashna hai miladun nabi ka jashn hai miladun nabi ka jashna hai miladun nabi ka jashn hai muskurane lage aaj shamso kamar noori noori fiza khil uthe bahro bar gosha-e-aamina phir munawwar hua chaaron janib zamane mein gunji sada aaye noore khuda aaye khairul wara diwano diwano diwano jhumo jhumo diwano diwano diwano jhumo jhumo cha...
- Get link
- X
- Other Apps
us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam ya husain ya husain ya husain ya husain kar liya nosh jisne shahadat ka jaam us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam assalaam aye husain ibn-e-haidar assalaam aye husain ibn-e-haidar jinko dhokhe se kufe bulaya gaya jinko baithe bithaye sataya gaya jinke bachon ko pyasa rulaya gaya jinki gardan pe khanjar chalaya gaya us husain ibn-e-haidar pe laakhon salaam assalaam ya husain, assalaam ya husain assalaam ya husain, assalaam ya husain jinka jannat se joda mangaya gaya jinko dosh-e-nabi pe bithaya gaya zeher bhai ko jiske pilaya gaya jisko teeron se chhalli karaya gaya assalaam aye husain ibn-e-haidar assalaam aye husain ibn-e-haidar jisne haq karbala mein ada kar diya apne nana ka wada wafa kar diya sab kuch ummat ki khaatir fida kar diya ghar ka ghar bhi supurde khuda kar diya us husain ibn-e-hai...
- Get link
- X
- Other Apps
haazir hein tere darbaar mein hum labbayk ......... labbayk......... labbayk allahumma labbayk labbayk allahumma labbayk labbayk labbayk allahumma labbayk labbayk labbayk allahumma labbayk haazir hein tere darbaar mein hum allah karam allah karam deti hai sada ye chashm-e-nam allah karam allah karam jin logon pe hai in'aam tera un logon mein likh de naam mera mahshar mein mera reh jaaye bharam allah karam allah karam har saal talab farma mujhko har saal wo shahar dikha mujhko har saal karu.n mein tawaaf-e-haram allah karam allah karam haibat se har-ek gardan kham hai har aankh nadaamat se nam hai har chehre pe hai ashkon se rakam allah karam allah karam meri aane wali sab naslein tere ghar aaein tera dar dekhein asbaab ho.n unko aise baaham allah karam allah karam haazir hein tere darbaar mein hum allah karam allah karam deti hai sada ye chashm-e-nam allah karam allah karam हाज़िर हैं तेरे दरबार में हम लब्बैक ......... लब्बैक......... लब्बैक अल्लाहुम्मा लब्बैक लब्बैक ...
- Get link
- X
- Other Apps
KHuda ki 'azmatein kya hein, muhammad mustafa jaane KHuda ki 'azmatein kya hein, muhammad mustafa jaane makaam-e-mustafa kya hai, muhammad ka KHuda jaane sada karna thi mere bas mein, maine to sada kardi wo kya denge, main kya lunga, sakhi jaane gada jaane kaha jibreel ne sidar talak meri rasaee thi hein kitni manzilein aage, nabi jaane KHuda jaane madine haazri ki maangte rehna dua yaaron ! asar hoga nahin hoga, nabi jaane dua jaane meri matti madine paak ki raah mein bichha dena kahaan lejaayegi isko madine ki hawa jaane mujhe to surkh-ru hona hai aaqa ki nigaahon mein zamaane ka kya naseer bura jaane bhala jaane
- Get link
- X
- Other Apps
Roman(ENG): Marhaba ya Mustafa Marhaba ya Mustafa Marhaba ya Mustafa Marhaba ya Mustafa Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba Sub-h Taybaah mein hui Bant-ta hai baada Noor ka Sadqaa lene Noor ka Aaya hai taara Noor ka Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba Baarwih ke chand ka mujra hai sajdaa Noor ka Baarah burzon se juka ek ek sitaara Noor ka Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba Taaj waale dekh kar Tera Imaama Noor ka Sar jukate hein Ilaahi bol baala Noor ka Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba Aye Raza ye Ahmade Noori ka faize Noor hai Ho gai Meri gazal pad kar kaseeda Noor ka Noor har su chha gaya hai Din khushi ka aa gaya Aaye Pyaare Mustafa Ahlanwwa Sahlan Marhaba हिंदी(HINDI): मरहबा या मुस्तफा मरहब...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman (Eng) : Sar ta Ba-qadam hai Tane Sultaane Zaman Phool Lab Phool , Zahen Phool , Zaqan Phool , Badan Phool Sadqe mein Tere Baag To Kya Laaye hein "Ban" Phool Is Ghuncha-e-Dil ko bhi to Imaan ho ke Ban Phool Tinka bhi Hamare To Hilaye nahin hilta Tum Chaho to ho jaaye Abhi Kohe Mehan Phool Wallah jo Mil jaaye Mere Ghul ka Pasina Mange na kabhi Itar Na Phir Chahe Dulhan Phool Dandano , Labo , Zulfo , Rukhe Shah ke Fidaee Hein Durre Adan , La'ale Yaman , Mushke Khatan Phool Hon Baare Gunaah se na Khajil Doshe Azizaan Allah Meri Na'ash kar Aye Jaane Chaman Phool Kya Baat RAZA Us Chamanistan-e-Karam ki Zuhra hai Kali Jis mein Husain Aur Hasan Phool हिंदी : सर ता बक़दम है तने सुल्ताने ज़मान फूल लैब फूल , ज़हन फूल , ज़क़न फूल, बदन फूल सदक़े में तेरे बाग़ तो क्या लाये हैं "बन" फूल इस गुंचा-इ-दिल को भी तो इमां हो के बन फूल तिनका भी हमारे तो हिलाये नहीं हिलता तुम चाहो तो हो जाये अभी कोहे महन फूल वल्लाह जो मिल जाए मेरे गुल का पसीना मांगे न कभी इत्र ,...
- Get link
- X
- Other Apps
Umar Ya Umar Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Jo Mustafa ki Dua hai Jo Murad Salle Ala hai Mazhar Shahe Khuda ka Mera Umar Pyara Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Hai Jis pe naaz Is Dil ko Jo Khalifa-e-Mustafa hai Hai Adal ka Jo Sarapa Mera Umar Pyara Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Farman hai Mustafa ka Mera baad ghar koi hota Ban kar Nabi jagmagata Mera Umar Pyara Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Pahelu-nashin hai jo dekho ab bhi Dare Mustafa ka Pyara hai Jo Mustafa ka Mera Umar Pyara Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Sarkar ki jo raza ko Rabb ki raza mante hein Paikar hai aesa wafa ka Mera Umar Pyara Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Ya Umar Farooke Aazam ne paya Faize Nabi ka Sar Chashma Hai Ilmo Himat ka Da...
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا
Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se, beta mera dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana dulha bana inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana dulha bana tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana dulha bana meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana dulha bana is tarha mehka kare ye gh...
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है
kya bataun ki kya madina hai kya bataun ki kya madina hai bas mera mudda'aa madina hai uth ke jaaun kahan madine se kya koi dusra madina hai kya bataun ki kya madina hai uski aankhon ka noor to dekho jiska dekha hua madina hai kya bataun ki kya madina hai dil mein ab koi aarzu hi nahin ya muhammad hai ya madina hai kya bataun ki kya madina hai duniya wale to dard dete hein zakhmi dil ki dawa madina hai kya bataun ki kya madina hai mere aaqa! mujhe bula lijiye mujhko bhi dekhna madina hai kya bataun ki kya madina hai dil fida hai madine wale pa...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام
shaah-e-do 'aalam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam karo duur har Gam salaam assalaam har aankh hoke pur-nam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam a Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam rabb ne baDe pyaar se me'raaj me.n kahaa rahne do naa'lain ko aa jaao mustafaa qadam-e-mustafaa ka liyaa arsh ne bosaa jhuum uthe saare malaa.ik o marhabaa maa.nge jo nabii rab ne vo diyaa rab ne jo diya, nabii ne vo liyaa jhuuka 'arsh-e-aa'zam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam aapne jo kar diyaa u.nglii ka ishaaraa chaand do tukDe hua qurbaan ho gayaa jab namaaz-e-'asr 'ali ki hui qazaa aapne suraj ko dubaaraa palat diyaa aap jo kiye, mo'jize bane aap ...
Apne Malik ka Main Naam lekar Lyrics / अपने मालिक का में नाम लेकर
apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun ya KHuda ! aabru rakh meri tu, teri hamd-o-sana kar raha hun tu jo chahe to ban jaye qismat, mere sajdo.n ki kya hai haqiqat teri chokhat pe sar ko jhuka kar, farz apna ada kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun maine duniya ka dekha nazaara, al-madad keh ke maine pukaara mujhko apni panaho.n mein rakhna, bas yahi iltija kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun aaj mahfil mein baithe hein jitne, sab ke dil ki tamanna ho puri sab ko haji bana de tu maula! main tadap kar dua kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun apne mahboob ka dar dikha de, mera soya muqaddar jaga de lutf-e-duniya ko le aaj se mein, apne dil se jhuda kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha ...
Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai Naat-Khwaan: Zohaib Ashrafi Laiba Fatima wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai firdaus-e-bari jiske wasile se bani hai wo haashmii makki madani ul 'arabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai ahmad hai mohammad hai wah KHatm-e-rasuul hai maKHduum o murabbii hai wahi vaalii-e-kul hai us par hi nazar saare zamane ki lagi hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wash-shams o wad-duHa chehra-e-anwar ki jalak hai wal-layl saza gesuu-e-hazrat ki latak hai 'aalam ko ziya uske wasile se mili hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai allah ka farman "alam-nashrah la-ka sadrak" mansuub hai "wa-raf'aana la-ka zikrak" jis zaat ka quraan me.n bhi zikr-e-jalii hai wo mera nab...
Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ
labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! kariya-kariya, basti-basti, zikr nabi ka aam karo pyaare aaqa ke diwaano.n ! haath mei.n daale haath chalo hubb-e-nabi ka har dil mei.n, tum jaa ke deep jalaao unche mei.n uncha nabi ka janda, ghar-ghar mei.n lehraao khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! ibn-e-'ali ne karbo-bala mei.n tum ko ye paighaam diya yaad rakkho, pyaare aaqa ne tum ko paak nizaam diya tod do baahu ...
Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ
sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri itna kaafi hai zindagi ke liye rakh le.n sarkar jo naukari ke liye sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke kisi shobe mein nakaam nahi hu.n sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n mere nijaat ka yahi raasta dikhai de allah mujko makka madina dikhai de roza-e-mustafa hai jaha.n par aye momino.n aashiq wahi.n pe jeeta aur marta dikhai de sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke hukmarano.n se darta nahi.n kabhi dollar se ya riyal se bikta nahi.n kabhi jis zehn me.n samaya hai faqat dast-e-karbala momin wo sar kataata hai jukta nahi.n kabhi sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n aaqa ka faisala wahi qudrat ka faisala mehshar mein hoga unki shafa'at ka fai...







.png)

