Pushton se Mein Naseer hun Mangtaa Hussain ka Lyrics || Gulam Mustafa Qadri || Roman(Eng) & हिंदी
Roman(Eng) :
Pushton se Mein Naseer hun , Mangtaa Hussain ka
Wirse mein Meine paaya hai , Sadqaa Hussain ka
Nabiyon ki Roze Hashr Ye farmaishein na ho
Azaan ho Bilaal ki , Sajdaa Hussain ka
Pushton se Mein Naseer hun Mangtaa Hussain ka
Kaafi hai Mere waaste , naqle ghame Hussain
Chaltaa hai har jahaan mein sikka Hussain ka
Pushton se Mein Naseer hun Mangtaa Hussain ka
Iska saboot de diyaa Asgar ki jhang ne
Sheron ka Sher hotaa hai baccha Hussain ka
Pushton se Mein Naseer hun Mangtaa Hussain ka
Maidaane Hashr ki Muje kya fikr ho Naseer
Bhaari hameshaa rehtaa hai paldaa Hussain ka
Pushton se Mein Naseer hun Mangtaa Hussain ka
हिंदी:
विरसे में मैंने पाया है , सदक़ा हुसैन का
नबियों की रोज़े हश्र ये फरमाइशें ना हो
अज़ान हो बिलाल की , सजदा हुसैन का
पुश्तों से में नसीर हूँ मांगता हुसैन का
काफी है मेरे वास्ते नकले ग़मे हुसैन
चलता है हर जहान में सिक्का हुसैन का
पुश्तों से में नसीर हूँ मांगता हुसैन का
इसका सुबूत दे दिया असगर की जंग ने
शेरों का शेर होता है बच्चा हुसैन का
पुश्तों से में नसीर हूँ मांगता हुसैन का
मैदाने हश्र की मुझे क्या फ़िक्र हो नसीर
भारी हमेशा रहता है पलड़ा हुसैन का
पुश्तों से में नसीर हूँ मांगता हुसैन का
Mashallah
ReplyDeleteKalam Hazrat Shah Naseer miya Niazi khanqah niazia baraily shreef up
ReplyDelete