Mere Maula Teri baat hi aur hai Lyrics || Rizwan Khan


Donon Aalam ka Malik hai Tu Aye Khuda
Mere Maula ! Teri baat hi Aur hai
Hamd Teri kare Koi Insan kya
Mere Maula ! Teri baat hi aur hai

Rubaru Sabke maujud hai Tu Magar
Dekh sakti nahin Tujko Koi nazar
Sab mein rehta hai lekin hai Sabse juda
Mere Maula Teri baat hi aur hai

Tod kar rakh diya Khwab Shaddad ka
Gark Firon ko Neel mein kar diya
Sarkashi Jisne ki Tune di hai saza
Mere Maula Teri baat hi aur hai

Nooh ki Naaw Tufan se Paar ki
Naar Namrud ki Tune Gulzar ki
Shikme Maahi mein Yunus ko dedi Giza
Mere Maula Teri baat hi aur hai

Jab hai anjam Duniya ka Peshe Nazar
Kyun talab Tujse Gohar kare Maalo Zar
Hath khali Jahan se Sikander gaya
Mere Maula Teri baat hi aur hai


Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Meeran Waliyon ke Imam dedo panjatan ke naam Lyrics / मीराँ वलीयों के इमाम देदो पंजतन के नाम

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Keh dena Sarkar se Salam Hamara Lyrics / कह देना सरकार से सलाम हमारा, सलाम हमारा

Mohe Sapna ma Darshan dikhai gayo re Lyrics / मोहे सपना मां दर्शन दिखाई गयो रे

Chamak Tujhse Pate hain Sab Pane Wale Lyrics / चमक तुझसे पाते हैं सब पाने वाले / with Tazmeen