Roman(ENG): al-madad peeraan-e-peer , gaus-e-aa'zam dastageer ! rutba ye wilaayat me.n , kya gaus ne paaya hai allah ne waliyo.n ka , sultaan banaaya hai hai dast-e-ali sar par , hasnain ka saaya hai mere gaus ne thokar me.n , murdo.n ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer , gaus-e-aa'zam dastageer ! lakho.n ne usi dar se , takdeer banayi hai bagdaad sawariya ki , har baat niraali hai doobi hui kashti bhi , dariya se nikaali hai ye naam adab se lo , ye naam jalaali hai al-madad peeraan-e-peer , gaus-e-aa'zam dastageer ! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labo.n par tum , fariyaad chale jaao milna hai agar tumko , waliyo.n ke shahenshah se khwaaja se ijaazat lo , bagdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer , gaus-e-aa'zam dastageer ! ya gaus karam kardo , ya gaus karam kardo ye deen ki daulat se , daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai , bas ek nazar kar do baghdaad ki galiyo.n me.n , chhota sa muje ghar do al-madad peeraan-e-peer , gaus-e-aa'z
Comments
Post a Comment