'ataa-e-mustafa, mere khwaaja piya Roman(Eng) : chiraag-e-chisht, shaah-e-auliya, ghareeb-nawaaz mere huzur, mere peshwaa, ghareeb-nawaaz teri shaan khwaaja-e-khwaajgaan bu badaa ghareeb-nawaaz hai tu mu'een-e-ummat-e-mustafa tu saboot-e-rahmat-e-mustafa tu 'ataa-e-meer-e-hijaaz hai tu badaa ghareeb-nawaaz hai hamei.n tune apna banaa liya hamei.n do jahaa.n se bacha liya tujhe ghamzado.n ka khayaal hai tu badaa ghareeb-nawaaz hai na gine gaye wo shumaar se jo pale hei.n tere dayaar se tera dast-e-jood daraaz hai tu badaa ghareeb-nawaaz hai 'ataa-e-mustafa, mere khwaaja piya hasan husain se hai aapko nisbat nabi ki aal ho, 'ali ke laal ho bayaa.n ho kis zubaa.n se aapki 'azmat mustafa ne tumhe hind bhejaa, tum muraad-e-nabi ho hind jis se munawwar hua hai, aap wo roshni ho rizaa-e-mustafa, habeeb-e-kibriyaa zamee.n kya hai, falak par aapki shohrat 'ataa-e-mustafa, mere khwaaja piya hasan husain se hai aapko nisbat nabi ki aal ho, 'ali ke laal ho bayaa.n ...