Mein hun Husaini bachpan se Lyrics || Tahir Qadri

Dam Dam Husain Maula Husain
Mein Husaini hun Mein Husaini hun
Sab Husaini Husain Husain karein

Jab se hosh sambhala hai
Maa ne Hamein samjaya hai
Samaj mein aaya Us Din se
Mein hun Husaini bachpan se

Aaj Yazeedi tola Tu
Isko Jannati manta hai
Sab Dollar ka chakkar hai
Halanki Haq janta hai

Ye sab kamai ke dhandhe hein
Sab Dollar ka chakkar hai

Aaj Yazeedi tola Tu
Isko Jannati manta hai
Sab Dollar ka chakkar hai
Halanki Haq jante hein

Sare Ayimma ka Fatwa
Yazeed Kafiro Fasik hai
Fatwa dikhaun kin kin se
Mein hun Husaini bachpan se

Jab se hosh sambhala hai
Maa ne Hamein samjaya hai
Samaj mein aaya Us Din se
Mein hun Husaini bachpan se

Nazre Karam jo Hurr pe hui
Unki Kismat jag uthi
Shah ne jab kuchh farmaya
Dil ki kaya palat gayi

Hurr ye sab ko batate hein
Jannat Aese pate hein
Sada lagayi ye Rann se
Mein hun Husaini bachpan se

Jab se hosh sambhala hai
Maa ne Hamein samjaya hai
Samaj mein aaya Us Din se
Mein hun Husaini bachpan se

Sab Husaini Husain Husain karein
Sab Husaini Husain Husain karein
Mein Husaini hun
Mein Husaini hun

Mehfil mein Siddiko Umar
Ka jo Naara lagata hai
Panjatan Paak ke Diwanon
Wahi to Apne wala hai




Aashiq hun Mein Sahaba ka
Ahle Bait ka Khadim hun
Pyar Muje Is bandhan se
Mein hun Husaini bachpan se

Jab se hosh sambhala hai
Maa ne Hamein samjaya hai
Samaj mein aaya Us Din se
Mein hun Husaini bachpan se

Kash Dua ye puri ho
Aur Meri Manzuri ho
Paishe Sarware aalam jab
Qabr mein Meri Huzuri ho

Mujse Firishte Tab puchhein
Bol Aqeeda kya hai Tera
Keh dunga Mein Madfan se
Mein hun Husaini bachpan se

Jab se hosh sambhala hai
Maa ne Hamein samjaya hai
Samaj mein aaya Us Din se
Mein hun Husaini bachpan se

Sun Aye Bilal Aye Tahir Sun
Tu Asli Phoolon ko chun
Nakkalon se ho hoshiyar
Hoga Tera beda paar

Jab Tu Zikre Husain kare
Sari Fiza bas gunj uthe
Aaye sada Tere Tan Mann se
Mein hun Husaini bachpan se

Jab se hosh sambhala hai
Maa ne Hamein samjaya hai
Samaj mein aaya Us Din se
Mein hun Husaini bachpan se

Naat Khwan : 

Hafiz Tahir Qadri

Comments

Post a Comment

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar || Lyrics || Wo Muhammad Madine mein Maujud hai || हमने आँखों से देखा नहीं है मगर || ENG HINDI URDU

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra || Lyrics || फ़ज़्ले रब्बे पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना || मदनी सेहरा || Haifz Tahir Qadri

Wo Mera Nabi hai Lyrics || Wo Jiske liye Mehfile Konain saji hai || वो मेरा नबी है || वो जिसके लिए महफिले कोनैन सजी है || وو جسکے لئے محفل کَونَیْن سجی ہے || Lyrics

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || अल्लाहुम्म सल्ली अला सैय्यिदिना व मौलाना मुहम्मदिन || ENG HINDI URDU

Shahe Do Alam Salam Assalam || शाहे दो आलम सलाम अस्सलाम || شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام || Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Aye Khatme Rasool Makki Madani || अये खत्मे रसूल मक्की मदनी || اے ختم رسول مکّی مدنی || Lyrics || Hafiz Uzair Akhtari

ab to bas ek hi dhun hai ke Madina dekhun Lyrics || अब तो बस एक ही धुन है के मदीना देखूं || اب تو بس ایک ہی دھن ہے کے مدینہ دکھوں || Hafiz Ahmed Raza Qadri

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Unki chokhat ho to kaasa bhi pada sajta hai Lyrics || Asad Attari || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI)

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सलीम || Danish & Dawar

Facebook Page