Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi Naat Lyrics



Mustafa Ya Mustafa.............

Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi
Ata bhi kese jab allah ne banaya hi nahi

Koi sani na hai rab ka na mere aqa ka
Ek ka jism nahi ek ka saya hi nahi

Zulf Vallayl hai , Rukh Vadduha mazad aakhen
Is tarha rab ne kisi ko bhi sajaya hi nahi

Aap ne jab se navaza hai ya Rasulallah
Mene daman kisi chokhat pe bichhaya hi nahi

Jisne sarkar ke chehre ki ziyarat ki hai
Us ki nazron me koi aur samaya hi nahi

Laut kar aa gaya makke se madine na gaya
Kese jata tuje aqa ne bulaya hi nahi

Jabse darvaze pe likha mene ala hazrat
Koi gustakh e nabi ghar mere aya hi nahi

Jab talak pusht pe shabbir rahe ae faizy
Sar ko sajde se payambar ne uthaya hi nahi






Naat Khvaan : Hafiz Tahir Qadry







Comments

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Subhanallah
    yaqeenan aap sallahualaihi wassallam ki tarah koi nahi hai

    ReplyDelete
  3. Masha allah Bahoot Kub Salamat Rahiye .....Ye kis ki likhi hui hai Maqta nahi hai ismein

    ReplyDelete

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Labbaik Ya Rasulallah Lyrics || Hafiz Tahir Qadri || Roman(ENG) and हिंदी (HINDI)

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics || Gulam Mustafa Qadri || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI)

Sohna Aaya Te saj gaye ne galiyaan bazaar || सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार Lyrics || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI):

Peshe Haq Muzda Shafaat ka Sunate Jaaeinge Lyrics || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI)

Tera Khawan Mein Tere Geet gawan Ya Rasool Allah Lyrics || तेरा खावां में तेरे गीत गावां या रसूलल्लाह || Owais Raza Qadri

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

Gali Gali Saj gayi Shaher Shaher Saj gaya || गली गली सज गयी, शहर शहर सज गया || Lyrics || Haifz Tahir Qadri