Milaade Muhammad hai Har Saal manaaenge Lyrics || Muhammad Hassan Raza Qadri

Milaade Muhammad hai Har Saal manaaeinge
Milaade Muhammad hai Har Saal manaaeinge

Ashaabe Muhammad ne Is Din ko manaaya hai
Aaqa ki Wilaadat pe Ghar Baar sajaaya hai
Ham Unke Sahaaba ki Sunnat ko nibhaaeinge
Milaade Muhammad hai Har Saal manaaenge

Mere Aaqa Meri Jaan Marhaba Ya Mustafa
Baadshaahe Do Jahaan Marhaba Ya Mustafa
Wo Makeene La-Makaan Marhaba Ya Mustafa
Mukhlison ke aasraa Marhaba Ya Mustafa
Wo Habeebe Qibriyaa Marhaba Ya Mustafa
Jaane Imaan Jaane Jaan Marhaba Ya Mustafa
Dil ki Ye Dhadkan kahe Marhaba Ya Mustafa
Baccha Baccha keh uthe Marhaba Ya Mustafa
Har koi kehtaa rahe Marhaba Ya Mustafa
Wird Ye hota rahe Marhaba Ya Mustafa

Kehte hein Wohi Jinko Milaad se Ulfat hai
Is Zaat ki Ulfat mein Kya Jaan ki kimat hai
Ham Ishqe Muhammad mein Jaanon ko lutaaeinge
Milaade Muhammad hai Har Saal manaaenge

Sadaaein Duroodon ki aati rahengi
Inhein Sun ke Dil Shaad hota rahega
Khuda Ahle Sunnat ko Aabad rakhe
Muhammad ka Milaad hota rahega

Milaad ki Mehfil mein Ghar Baar Sajaaeinge
Aur Unke Gulaamon ko Mehfil mein bulaaeinge
Fir Milke Wilaadat ke Nagmaat sunaaeinge
Milaade Muhammad Ham Har Saal Manaaeinge

Milaade Muhammad hai Har Saal manaaenge
Milaade Muhammad hai Har Saal manaaenge

Sunnat ke Tareeqe ko Apnaaein agar Ham Sab
Milaad ki Har Mehfil mein jaaein agar Ham Sab
Tafseel tabhi jaa kar Ham Khuld ko Paaeinge
Milaade Muhammad Ham Har Saal manaaenge

Milaade Muhammad hai Har Saal manaaenge
Milaade Muhammad hai Har Saal manaaenge

Mere Aaqa Meri Jaan Marhaba Ya Mustafa
Baadshaahe Do Jahaan Marhaba Ya Mustafa
Wo Makeene La-Makaan Marhaba Ya Mustafa
Mukhlison ke aasraa Marhaba Ya Mustafa
Wo Habeebe Qibriyaa Marhaba Ya Mustafa
Jaane Imaan Jaane Jaan Marhaba Ya Mustafa
Dil ki Ye Dhadkan kahe Marhaba Ya Mustafa
Baccha Baccha keh uthe Marhaba Ya Mustafa
Har koi kehtaa rahe Marhaba Ya Mustafa
Wird Ye hota rahe Marhaba Ya Mustafa

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Kaba Dikha de Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Taiba ke Jane wale ja kar bade adab se Lyrics / तैबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से / طیبہ کے جانے والے جا کر بڑے ادب سے

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Are Hajiyo Tum Haram ja rahe ho Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics