Posts

Showing posts with the label bilal Attari

Mangta hun mein Tumhara Abdullah Shah Gazi Lyrics / मंगता हूँ मैं तुम्हारा अब्दुल्लाह शाह गाज़ी / منگتا ہوں میں تمہارا عبد اللہ شاہ غازی

mangta hun main tumhara abdullah shah gazi mangta hun main tumhara abdullah shah gazi kijiye karam khudara abdullah shah gazi ae wali-e-karachi is shahar par karam ho ye shahar hai tumhara abdullah shah gazi ham hain gada tumhare, qismat pe jhumte hain ye hai sharaf hamara abdullah shah gazi qadmon se aap ke jo chashma ubal raha hai hai kitna pyara pyara abdullah shah gazi dar pe tumhare aake man ki muradein paayein jis ne tumhe pukara abdullah shah gazi haakim ne jo kahi hai ye manqabat tumhari hai faiz ye tumhara abdullah shah gazi मंगता हूँ मैं तुम्हारा अब्दुल्लाह शाह गाज़ी मंगता हूँ मैं तुम्हारा अब्दुल्लाह शाह गाज़ी कीजिए करम खुदाया अब्दुल्लाह शाह गाज़ी ऐ वली-ए-कराची इस शहर पर करम हो ये शहर है तुम्हारा अब्दुल्लाह शाह गाज़ी हम हैं ग़दा तुम्हारे, क़िस्मत पे झूमते हैं ये है शरफ़ हमारा अब्दुल्लाह शाह गाज़ी क़दमों से आपके जो चश्मा उबल रहा है ...

Mere Sarwar Imam Husain Lyrics

Aaqa ke pyare Husain Siddiq ke pyare Husain Farooq ke pyare Husain Usman ke pyare Husain Haider ke pyare Husain Mere Hasan ke pyare Husain Zahra ke pyare Husain Fatima ka chand hai Husain Fatima ka chand hai Husain Murtaza ki shan hai Husain Fatima ka chand hai Husain Mere Sarwar Imam Husain Mere Dilbar Imam Husain Sarwar Imam Husain hai, Sultan Imam Husain Khud Deen-e-Haq hai Deen ke nigehbaan Imam Husain Mere Sarwar Imam Husain Mere Dilbar Imam Husain Hein Aap ke hi usba-e-kamil ke faiz se Toheed ke chaman mein bahaara Imam Husain Mere Sarwar Imam Husain Mere Dilbar Imam Husain Maula ki sarfarazi ka manzar nazar mein hai Palkon pe kar raha hun charagan Imam Husain Mere Sarwar Imam Husain Mere Dilbar Imam Husain Kijiye ata Rasheed ko Zille Liwa-e-Paak Jab tap raha ho Hashr ka maidan Imam Husain Mere Sarwar Imam Husain Mere Dilbar Imam Husain

Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki - Manqabat Lyrics || Maulana Bilal Raza Qadri

Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki Rizaa-e-Mustafa hi hai Rizaa Siddiqe Akbar ki Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki Wohi Atqaa , Wohi Awfa , Wohi Aadal , Wohi Afzal Hai kaisi Munfarid Har Har adaa Siddiqe Akbar ki Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki Lutaaya Jisne Maalo Jaan ko Raahe Nubuwwat mein Nabi pe Har Quraabat thi Fidaa Siddiqe Akbar ki Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki Diya kis ko Musalla , Mustafa ne bhi Khuda ne bhi Nazar aayi Ye Azmat baarha Siddiqe Akbar ki Maqaame Afzale Ummat ko baaham tolne waalon Ali Maula se puchho Iqtidaa Siddiqe Akbar ki Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki Wohi Chamkaa Zamaane mein Wilaayat ki bulandi par Padi Ik baar bhi Jispe Nigaah Siddiqe Akbar ki Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki Aye Aasif ! Ye Nigaahe Mustafa ki hi Tajalli hai Mili Saadaat se Mujko ataa Siddiqe Akbar ki Musallam hai Zamaane mein Wafaa Siddiqe Akbar ki

Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Lyrics || Maulana Bilal Raza Qadri

Assalam Ya Husain Assalam Ya Husain Karbala ke Jaan-Nisaaron ko Salam Fatima Zahraa ke Pyaaron ko Salam Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Abbase Naamdaar hein Zakhmon se choor choor Us Paykare Riza ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Akbar se No-Jawaan bhi rann mein hue Shaheed Ham-Shakle Mustafa ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Bhai Bhatije Bhanje Sab ho gae Shaheed Har Laale Be-Bahaa ko Hamara Salam ho Asghar ki Nanhi Jaan pe Lakhon Salam ho Mazloomo Be-Khata ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Ho kar Shaheed Qaum ki Kashti Tira gaye Ummat ke Na-khuda ko Hamara Salam ho Sultane Karbala ko Hamara Salam ho Janaane Mustafa ko Hamara Salam ho Nasir Wila-e-Shah mein kehta hai baar baar Mehmaane Karbala ko Hamara Salam ho

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

Kya batau ki kya Madina hai lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है / کیا بتاؤں کی کیا مدینہ ہے

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है

Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein / क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में / کیوں آکے رو رہا ہے محمد کے شہر میں

Apne Malik ka Main Naam lekar Lyrics / अपने मालिक का में नाम लेकर / اپنے مالک کا میں نام لیکر

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام