Meri Jaan Husain Lyrics || Hafiz Ahmed Raza Qadri
Husain Husain Husain Husain
Meri Jaan Husain Imaan Husain
Mera Maan Husain Pahechaan Husain
Wo Dil hi kya ke Jisme Samoya nahin Husain
Behtar hai Wo ke Jisne khoya nahin Husain
Meri Jaan Husain... Meri Jaan Husain...
Meri Jaan Husain... Meri Jaan...
Kehdo Hawa se jaa kar ab shor naa kare
Tayba se Karbala tak soyaa nahin Husain
////
Libaas hai fataa hua Ghubaar mein ataa hua
Tamaam Jisme Naazneen chhida hua kataa hua
Ye Kaun Zee-waqaar hai Bala ka Shah-Sawar hai
Ke hai Hazaaron qaatilon ke samne dataa hua
Ye bil-yaqeen Husain hai Nabi ka Noore Ayen hai
Ke Jiski Ek Zarb se Kamaale Fanne Harb se
Kai Shaqeen gire hue tadap rahe hein qarb se
Ye Kaun Haq-Parast hai Ma-e-Riza se mast hai
Ke Jiske Samne koi buland hai na past hai
Udhar Hazaar ghaat hein Magar ajeeb baat hai
Ke Ek se Hazaar Hath ka hosala shikast hai
Dilaawari mein Fard hai Badha hi Sher Mard hai
Ke Jiske Dabdabe se Dushmanon ka rang zard hai
Habeebe Mustafa hai Ye Mujahide Khuda hai Ye
Jabee to Iske samne ye Fauj gard bard hai
Udhar Sipaahe Shaam hai Hazaar Intezaam hai
Udhar hein Dushmanaane Deen Idhar faqat Imaam hein
Magar ajeeb shaan hai gazab ki aan-baan hai
Ke Jis Taraf uthi hai teh bas Khuda ka Naam hai
/////////
Meri Jaan Husain... Meri Jaan Husain...
Meri Jaan Husain... Meri Jaan
Mujse Mere Husain ka naa puchho hosla
Jitne bhi dard aaye royaa nahin Husain
Wo Dil hi kya ke Jisme Samoya nahin Husain
Hakim Rida-e-Deen par Wo Daag to dikha
Jisko lahu se Apne dhoyaa nahin Husain
Wo Dil hi kya ke Jisme Samoya nahin Husain
Meri Jaan Husain... Meri Jaan Husain...
Meri Jaan Husain... Meri Jaan
Comments
Post a Comment