Aarzu hai Mein bhi aaun Aapke Darbar mein Lyrics || Hafiz Abdulbasit Hassani Naqshbandi

Aarzu hai Mein bhi aaun Aapke Darbar mein

Aake Haal-e-Dil sunaun Aapke Darbar mein


Tarjumani kar na paye Dil ki Ye Meri Zuban

Chup khada aansu bahaun Aapke Darbar mein


Koi bhi Aaqa nahi hai Dard bante Jo Mere

Zakhme Dil aa kar dikhaun Aapke Darbar mein


Aapke Sadqe Mera Allah Karam farmayega

Apne Allah ko manaun Aapke Darbar mein


Kya hai Daman mein Mere Aaqa nidamat ke siwa

Kuchh nahin Jo leke aaun Aapke Darbar mein


Ab to bas Ik hi Tamanna hai Dil-e-Babar ki Ye

Umr saari Mein bitaun Aapke Darbar mein

Comments

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)