Aarzu hai Mein bhi aaun Aapke Darbar mein Aake Haal-e-Dil sunaun Aapke Darbar mein Tarjumani kar na paye Dil ki Ye Meri Zuban Chup khada aansu bahaun Aapke Darbar mein Koi bhi Aaqa nahi hai Dard bante Jo Mere Zakhme Dil aa kar dikhaun Aapke Darbar mein Aapke Sadqe Mera Allah Karam farmayega Apne Allah ko manaun Aapke Darbar mein Kya hai Daman mein Mere Aaqa nidamat ke siwa Kuchh nahin Jo leke aaun Aapke Darbar mein Ab to bas Ik hi Tamanna hai Dil-e-Babar ki Ye Umr saari Mein bitaun Aapke Darbar mein