Ye Kehti thi Ghar Ghar mein Ja Kar Haleema Lyrics in Roman(Eng) & Hindi(हिंदी)
Roman (Eng):
Saher ka Waqt tha Masoom kaliyan Muskurati thi
Hawaein Khair Makdam ke Tarane Gungunati thi
Abhi Jibreel bhi Utre na the Kaabe ke Mimbar se
Ke Itne mein Sada Aayi Ye Abdullah ke Ghar se
Mubarak ho Shahe Har Do-Sara Tashreef Le Aaye
Mubarak ho Muhammad Mustafa Tashreef Le Aaye
Ye Kehti thi Ghar Ghar mein Ja Kar Haleema
Mere Ghar mein Khairul Wara Aa gaye hein
Uthi Chaar-soo Rehmaton ki Ghatayein
Muattar Muattar hein Saari Fazaaein
Khushi mein Ye Jibreel Nagmein Sunaye
Wo Shaf-e-Roze Jaza Aa gaye hein
Mere Ghar mein Khairul Wara Aa gaye hein
Ye Zulmat se Keh do ke Dere Utha lein
Ke hein Har Taraf Ab Ujaale Ujaale
Kaha Jinko Haq ne Siraajun Muneera
Mere Ghar Wo Noore Khuda Aa gaye hein
Ye Kehti thi Ghar Ghar mein Ja Kar Haleema
Mere Ghar mein Khairul Wara Aa gaye hein
Ye Sun kar Sakhi Aapka Aastana
Hai Daaman Pasaare huye Sab Zamaana
Nawaason ka Sadqa Nigahe Karam ho
Tere Dar pe Tere Gadaa Aa gaye hein
Ye Kehti thi Ghar Ghar mein Ja Kar Haleema
Mere Ghar mein Khairul Wara Aa gaye hein
Mukarrab hein Beshak Khaleelo Najee bhi
Badhi Shaan wale Kaleemo Maseeh bhi
Liye Arsh ne JinQadmon ke Bose
Wo Ummi Lakab Mustafa Aa gaye hein
Ye Kehti thi Ghar Ghar mein Ja Kar Haleema
Mere Ghar mein Khairul Wara Aa gaye hein
Nakeerain Jab Meri Turbat mein Aa kar
Kaheinge Ziyarat ka Muzda Suna kar
Utho Behre Taazeem Noorul Hasan Ab
Lahad mein Rasoole Khuda Aa gaye hein
Ye Kehti thi Ghar Ghar mein Ja Kar Haleema
Mere Ghar mein Khairul Wara Aa gaye hein
हिंदी :
सहेर का वक़्त था मासूम कलियां मुस्कुराती थीहवाएं खैर मकदम के तराने गुनगुनाती थी
अभी जिब्रील भी उतरे न थे काबे के मिम्बर से
के इतने में सदा आई ये अब्दुल्लाह के घर से
मुबारक हो शहे हर दो-सरा तशरीफ़ ले आये
मुबारक हो मुहम्मद मुस्तफा तशरीफ़ ले आये
ये कहती थी घर घर में जा कर हलीमा
मेरे घर में खैरुल वरा आ गए हैं
उठी चार-सू रेहमतों की घटाएं
मुअत्तर मुअत्तर हैं सारी फ़ज़ाएँ
ख़ुशी में ये जिब्रील नग्में सुनाए
वो साफ-इ-रोज़े जज़ा आ गए हैं
ये कहती थी घर घर में जा कर हलीमा
मेरे घर में खैरुल वरा आ गए हैं
ये ज़ुल्मत से कह दो के डेरे उठा लें
के हैं हर तरफ अब उजाले उजाले
कहा जिनको हक़ ने सिराजुन मुनीरा
मेरे घर वो नूरे खुदा आ गए हैं
ये कहती थी घर घर में जा कर हलीमा
मेरे घर में खैरुल वरा आ गए हैं
ये सुन कर सखि आपका आस्ताना
है दामन पसारे हुए सब ज़माना
नवासों का सदक़ा निगाहे करम हो
तेरे दर पे तेरे गदा आ गए हैं
ये कहती थी घर घर में जा कर हलीमा
मेरे घर में खैरुल वरा आ गए हैं
मुकर्रब हैं बेशक ख़लीलो नजी भी
बड़ी शान वाले कलीमो मसीह भी
लिए अर्ष ने जिनके क़दमों के बोसे
वो उम्मी लक़ब मुस्तफ़ा आ गए हैं
ये कहती थी घर घर में जा कर हलीमा
मेरे घर में खैरुल वरा आ गए हैं
नकीरेन जब मेरी तुरबत में आ कर
कहेंगे ज़ियारत का मुज़्दा सुना कर
उठो बेहरे ताजीम नूरुल हसन अब
लहद में रसूले खुदा आ गए हैं
ये कहती थी घर घर में जा कर हलीमा
मेरे घर में खैरुल वरा आ गए हैं
Comments
Post a Comment