Jab Tak Jiyun Mein Aaqa Koi Gham na paas aaye Lyrics || Owais Raza Qadri


Jab Tak Jiyun Mein Aaqa Koi Gham na paas aaye
Jo Marun to ho lahad par Teri Rehmaton ke Saaye

Hein Khiza ne dale dere Murja gaye hein Sab ghul
Mere Ujde baag mein fir Aaqa bahar aaye

Meri Zindagi ka Maksad , Ho Aye Kaash Ishke Ahmed
Muje Maut bhi jo aaye Isi justaju mein aaye

Muje Maut Zindagi de Muje Zindagi Maza de
Jo Kitabe Zindagi par Mohar Apni Wo lagaye

Tu basa de Mere Dil mein Haan ! Usi ki yaad Malik
Wo Jo Wakte Naz'a aa kar Kalma bhi yaad dilaye

Na to kar saka hai koi, Na karega pyar aesa
Jo lahad mein aashikon ko deke thapkiyan sulaye

Wo Diya jo bujh gaya tha, Wo jo kho gayi thi suzan
Hua har taraf ujala Jo Huzur Muskuraye

Chali aandhiyan ghamon ki, Giri Bijliyan dukhon ki
Ye Tera Karam hai Aaqa ke Kadam na ladkhadaye

Jise Mara ho ghamon ne, Jise Gera ho dukhon ne
Mera Mashwara hai Usko Wo Madina hoke aaye

Dare Yaar par pada hun Is usul par gira hun
Jo gira hua ho khud hi Use Kon ab giraye

Mein Gulame Panjatan hun, Besahara na samajna
Mein hun Gaus ka Diwana Koi hath to lagaye

Yehi Aarzu Dili hai Teri Bazm par kisi Din
Ye Tera Ubaid aaye Tuje Naat bhi Sunaye


Comments

Post a Comment

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)