Aa gaye Sultane Payambar Lyrics || Farhan Qadri
Kis Waste Kaynat pe ye Noor hai chhaya
Is ka Jawab Hazrate Jibreel hai laya
Jiske liye Khuda ne ye Kaynat banayi
Wo Khatme Rasul Duniya mein Tashrif hai laya
Aaya hai Mera Nabi Nabi Nabi Nabi
Sohna hai Mera Nabi Nabi Nabi Nabi
Aaya hai Sohna hai Aaya hai Sohna hai
Sab ko Mubarak Aamade Sarwar
Aa gaye Sultane Payambar
Banke Khuda ki Rah ka Rahbar
Aa gaye Sultane Payambar
Rabb ne Use bakhshi hai Tokir nirali
Sara Zamana hai Uske Dar ka Sawali
Rabb ne ata ki Jisko hai Kausar
Aa gaye Sultane Payambar
Banke Khuda ki Rah ka Rahbar
Aa gaye Sultane Payambar
Labbayk Labbayk Labbayk Ya Rasulallah
Labbayk Labbayk Labbayk Ya Rasulallah
Karte hein Jibreel Aelan Yehi aksar
Jo bhi hein Allah ke Mehbub ke Nokar
Unko Mubarak Shafi-e-Mehshar
Aa gaye Sultane Payambar
Banke Khuda ki Rah ka Rahbar
Aa gaye Sultane Payambar
Wo Khilkate Awwal hein Wo Aakhari Nabi
Mangaton ki Jholi bharta hai Wo Sakhiyon ka Sakhi
Badshah Jiske hein Dar ke Gadagar
Aa gaye Sultane Payambar
Banke Khuda ki Rah ka Rahbar
Aa gaye Sultane Payambar
Taah kabhi Yaseen kabhi Tahiro At'har
Quran mein Allah ne kaha Jisko Muddassir
Donon Jahan mein Jiska nahin Hamsar
Aa gaye Sultane Payambar
Aye Doston Wo Qabr mein Hargiz na darega
Jo Har Gadi bas Zikr Mustafa ka karega
Aamade Sarwar se bolega uth kar
Labbayk Labbayk Labbayk Ya Rasulallah
Labbayk Labbayk Labbayk Ya Rasulallah
Aa gaye Sultane Payambar
Banke Khuda ki Rah ka Rahbar
Aa gaye Sultane Payambar
Khilkat mein sabse Awwal Nabiyon mein aakhari
Milad mein kehta hai Ye Farhan Qadri
Nara Lagao Labbayk ka mil kar
Labbayk Labbayk Labbayk Ya Rasulallah
Labbayk Labbayk Labbayk Ya Rasulallah
Aa gaye Sultane Payambar
Banke Khuda ki Rah ka Rahbar
Aa gaye Sultane Payambar
Comments
Post a Comment