Sekdon Saal huye Jab na Mila tha Pani  Aaj tak hai Labe Shabbir ka Pyasa Pani   Karbala Samne Aati Jo lashein lekar  Aankh to Aankh hai par tan se bhi rista Pani   Kesi basti mein Muhammad ka Musafir thehra  Dhup Khaima thin Daree ret Nazara Pani   Tishnagi Us ki Samandar ko bula sakti thi  Kat sakta tha Wo talwar se chalta Pani   Kiske Sar Fat'ha ka Tarikh ne Sahera bandha  Surkhroo Kaun hai Donon mein Lahu ya Pani   Jab bhi Zikre Shohda Dil mein Musafar chheda  Aankhein Ek Zakhm bani Aankh se tapka Pani