Aaj tak hai Labe Shabbir ka Pyasa Pani Lyrics
Sekdon Saal huye Jab na Mila tha Pani
Aaj tak hai Labe Shabbir ka Pyasa Pani
Karbala Samne Aati Jo lashein lekar
Aankh to Aankh hai par tan se bhi rista Pani
Kesi basti mein Muhammad ka Musafir thehra
Dhup Khaima thin Daree ret Nazara Pani
Tishnagi Us ki Samandar ko bula sakti thi
Kat sakta tha Wo talwar se chalta Pani
Kiske Sar Fat'ha ka Tarikh ne Sahera bandha
Surkhroo Kaun hai Donon mein Lahu ya Pani
Jab bhi Zikre Shohda Dil mein Musafar chheda
Aankhein Ek Zakhm bani Aankh se tapka Pani
is main bus ake choti se ghalti ha . is ko sahih karden is asar main tan ki jaga pathar ai ga
ReplyDeleteAankh to Aankh hai par tan se bhi rista Pani
yeah ha sai
Aankh to Aankh hai pathar se bhi rista Pani
MashaAllaH..JZaakAllaH.
ReplyDelete