ham madine se allah kyun aa gaye ham madine se allah kyun aa gaye qalb-e-hairaan ki taskeen wahin reh gayi dil wahin reh gaya jaan wahin reh gayi kham usi dar pe apni zabeen reh gayi yaad aate hain hamko wo shaam-o-sehar wo sukoon-e-dil-o-jaan wo rooh-o-nazar ye unhi ka karam hai unhi ki ata ek kaifiyat-e-dil naheen reh gayi allah allah wahan ka durood-o-salaam allah allah wahan ka sujood-o-qayaam allah allah sahn ka wo kaif-o-dawaam wo salaate sukoon aafareen reh gayi jis jagah sajda-rezi ki lazzat mili jis jagah har qadam unki rehmat mili jis jagah noor rehta hai shaam-o-sehar wo falak reh gaya wo zameen reh gayi padh ke nasrum-minallahi wa fathun-qareeb jab hue ham rawaan soo-e-koo-e-nabi barkatein, rehmatein saath chalne lageen be-basi zindagi ki yahin reh gayi zindagaani wahin kaash hoti basar kaash behzaad aate na ham laut kar aur poori...