phir ke gali gali tabaah thokarein sab ki khaaein kyun phir ke gali gali tabaah thokarein sab ki khaaein kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun rukhsat-e-qafile ka shaor ghash se hamein uthaae kyun sote hein unke saae mein, koi hamein jagaae kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun baar na the habeeb ko, paalte hi ghareeb ko roein jo ab naseeb ko, chain kaho gawaaein kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun yaad-e-huzoor ki qasam, ghaflat-e-aish hai sitam khub hein qaid-e-gham mein ham, koi hamein chhudaae kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun ya to unhin tadap ke jaaein, ya wahi daam se chhudaaein minnat-e-ghair kyun uthaaein, koi taras jataae kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun sang-e-dar-e-huzoor se, hum ko khuda na sabr de jaana hai sar ko jaa chuke, dil ko qaraar aae kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun jaan hai ishq-e-mustafa, roz fazoon kare khuda ...