Kya Karoon ke yaad aati hein Sunehri Jaliyan Lyrics

Kya Karoon ke yaad aati hein Sunehri Jaliyan
Dil mein ek Halchal machati hei Sunehri Jaliyan

Apni Palkon se unhe mein Chumta hun der tak
Dil mein jab bhi Jagmagati hein Sunehri Jaliyan

Futne lagti hein fir ummid ki Kirnein nayeein
Khwab Aankhon mein jagati hein Sunehri Jaliyan

Zindagi bhar ki thakan ko door kar deti hai wo
Pyar se jab Muskurati hein Sunehri Jaliyan

Puchhne wale mein Lafzon mein bayan kese karun
Kya bataun kya dikhati hein Sunehri Jaliyan

Jo yahan pahuncha wo Aaqa ki shafa'at pa gaya
Rah Jannat ki dikhati hein Sunehri Jaliyan

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)