ek roz mominon tumhein marna zarur hai ek roz mominon tumhein marna zarur hai padte raho namaaz ye qaule rasool hai padte raho namaaz toh chahere pe noor hai padte nahin namaaz ye apna kasur hai apne kiye ki aap saza jald paoge sidhe hi be namazi jahannam mein jaaoge jis roz ke takht pe baithega kibriya us waqt kya kahoge tumhein aayegi haya sharmo haya se us gadi sar ko jukaaoge jannat to kya milegi jahannam mein jaaoge tauba karo khudaara namaazien pada karo makro fareb jhuth se har dam bacha karo masjid khuda ka ghar hai ibaadat ka kaam hai duniya ka kaam karna to mutlak haraam hai padte hein jo namaaz jamaa'at se sar b sar tayyar kar rahe hein wo jannat mein apna ghar bakhshaayeinge khuda se use shaahe bahero bar muslim ne aur bukhari ne likhi hai ye khabar jo tark ki namaz to wo naash ho gaya jisne padhi namaz to wo paak ho gaya ...