Allaho Gani dekhi kya Shaan Madine mein Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Allaho Gani dekhi kya Shaan Madine mein
Anwaar ki baarish hai har aan Madine mein

Jaane bhi to Kya Jaane Samje bhi to kya Samje
Hai aql ye bechari hairaan Madine mein

Allaho Gani dekhi kya Shaan Madine mein
Anwaar ki baarish hai har aan Madine mein

Kya baat hai Tayba ki Sarkar ke Deewaane
Sau Jaan se hote hein Qurbaan Madine mein

Allaho Gani dekhi kya Shaan Madine mein
Anwaar ki baarish hai har aan Madine mein

Taybaa ke huzuri Mein Deedar bhi ho jaae
Aye kaash Ye pura ho Armaan Madine mein

Allaho Gani dekhi kya Shaan Madine mein
Anwaar ki baarish hai har aan Madine mein

Din ho to Mein kho jaaun galiyon mein Madine ki
Aur Shab mein sunaun Mein Quraan Madine mein

Allaho Gani dekhi kya Shaan Madine mein
Anwaar ki baarish hai har aan Madine mein

Lagta hai ke sab Duniya Mehmaan Unhi ki hai
Iftar ke lagte hein jab khaan Madine mein

Allaho Gani dekhi kya Shaan Madine mein
Anwaar ki baarish hai har aan Madine mein

Aye Qadri Dulha ye Sab Aap ka sadqaa hai
Hai Aap ka Saalam bhi Mehmaan Madine mein

Allaho Gani dekhi kya Shaan Madine mein
Anwaar ki baarish hai har aan Madine mein

Comments

  1. Shayar ka naam salam nahi hai Salim hai
    Shekh abdul Hameed Mohmmad salim qadiri qadri usmani badayuni

    ReplyDelete

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kaaba Dikhade Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला