banda milne ko qareeb-e-hazrat-e-qadir gaya - English banda milne ko qareeb-e-hazrat-e-qadir gaya lamha-e-batin mein gumne jalwa-e-zahir gaya teri marzi pa gaya suraj fira ulte qadam teri ungli uth gaee mah ka kaleja chir gaya teri rahmat se safee-u-llah ka beda paar tha tere sadqe mein najiyu-llah ka bajra tir gaya teri aamad thi ke baytullah mujre ko juka teri haibat thi ke har boot thar-thara kar gir gaya momeen un ka kya hua allah us ka ho gaya kafeer un se kya phira allah hi se phir gaya mujh ko deewana batate ho main wo hushyar hun paaon jab tauf-e-haram mein thak gaye sar phir gaya rahmatul-lil-aalamin aafat mein hun kaisi karun mere maula! main to is dil se bala mein gir gaya main tere hathon ke sadqe kaisi kankariyaan thin wo jinse itne kafiron ka daf'atan munh phir gaya kyun janab-e-bu huraira tha wo kaisa jaam-e-sheer jis se sattar sahibon ka dudh se munh phir gaya wasata pyare ka aisa ho ke jo sunni mare yun na farmaaein tere shahid ke w...