Roman(ENG): Sare La-Makaan se talab hui, Soo-e-Muntaha Wo chale Nabi Koi had hai Unke Ururz ki , Balagal Ulaabi Kamalihi Hein Saf-aarah Sab Hooro Malak, Aur Gilma Khuld sajaate hein Ek dhoom hai Arshe Aazam par, Mehmaan Khuda ke aate hein Mere Muhammad Pyaare Bane hein Dulha Dulha Mere Muhammad Pyaare Bane hein Dulha Ya Mustafa Ya Mujtaba , Salle Ala Mere Aaqa Hai Aaj Falak Roshan Roshan , Hein Taare bhi jagmag jagmag Mehboob Khuda ke aate hein , Mehboob Khuda ke aate hein Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Wo Sarware Kishware Risaalat , Jo Arsh par Jalwaaghar huye the Naye Niraale Tarab ke Samaan , Arab ke Mehmaan ke liye the Wahaan falak par yahaan zameen mein , Rachi thi shaadi machi thi dhoomein Udhar se Anwaar hanste aate , Idhar se Nafhaat uth rahe the Utaar kar Unke Rukh ka Sadqaa , Wo Noor ka bant raha tha baadaa Ke Chaand Suraj machal machal kar , Jabee ki khairat maangate the Wahi ...