Sarkaare Madina se Nisbat ho to Aesi ho Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)
Roman(Eng) :
Jo Aala hai Wo Pasti ki Taraf jaaya nahin karte
Khayaalo Haam Apne Dil mein wo laaya nahin karte
Muhammad Mustafa Salle Alaa ke Chaahne waale
Bajuz Ishqe Nabi kuchh aur Apnaaya nahin karte
Sarkaare Madina se Nisbat ho to Aesi ho
Khud Pyaare Nabi kehdein Ummat ho to aesi ho
Ham bhejein Muhammad par Har Waqt Duroodo Salaam
Har Banda-e-Momeen ki aadat ho to aesi ho
Jaan Apni Bilaal ne di, Chaahat mein Muhammad ki
Bas Shaafa-e-Mahshar ki Chaahat ho to aesi ho
Dandaa ki Shahaadat par, Sab Daant gira daale
Ye Daastaan Jange Ohad ki hai Doston
Kissa hai Ye Rasool ke Dandaan ka Suno
Zakhmi hue the Jang mein Sarkaare Ambiyaa
Ek Daant bhi Shaheed hua Ismein Nabi ka
Hazrat Owais ko lagi Jis Waqt ye khabar
To Gham ko Laher dod gayi jism ke andar
Fir Aapne kaha Jo Mein hota Wahaan par
Kar deta Mein Apni Jaan Nabi pe nichhaawar
Afsos Nabi se raha Us Waqt mein baeed
Dandaane Mubaarak Nabi ka Jab hua Shaheed
Bardaasht Is Gham ko bhala Mein kaise Sahunga
Pyaare Nabi se Umar bhar Shaeminda rahunga
Unko Nabi ke Daant ka be-had hua malaal
Dil mein Owais Qarni ke Phir aaya ye khayaal
Dandaan Mubaarak Nabi ka Jab nahin raha
Ik Daant apna tod dun Ye Haq karun adaa
Ye Sochte hi tod liya Ek Daant ko
Phir sochne lage ke kahin Dusra na ho
Owais ne phir Dusre bhi Daant ko todaa
Al-Kissa Apne munh mein koi Daant na chhoda
Ishqe Nabi mein Aapne Ye karke dikhaaya
Jitne bhi munh mein Daant the Un sab ko giraaya
Dandaa ki Shahaadat par, Sab Daant gira daale
Sarkare Do Aalam se Ulfat ho to aesi ho
Hafiz Tere Seene mein, Jo Daulat Quraan hai
Har Ek Muslmaan pe Daulat ho to Aesi ho
Ahmad ke Nawaase ne, Sar Haq pe kataa daala
Ye Daastaan suniye Imaame Husain ki
Zahra ke Dil Jigar, Ali ke Noore Ayen ki
Haaqim Yazeed jab ke hua Mulqe Shaam mein
To bad gaya tarakhna Shariyat ke Kaam mein
Tharrata tha Yazeed se Us Waqt har bashar
Wo Hukmarani karta tha be-khauf be-khatar
Haaqim Yazeed ne diya Husain ko Payaam
Bay'at karo Qubool Hamari ba-Aheteraam
Thukraa diye Husain ne Yazeed ke Usool
Bay'ate Yazeed Aapne har giz na ki qubool
Aur Is Taraf Husain ko khat aaye Qufaa se
Pyaare Husain Jald Kufaa Aap aaeeye
Bay'at kareinge Aap ki likkha Husain ko
Dhoke se Kufiyon se bulaaya Husain ko
Jo kuchh likha Husain ko Dil mein Wohi liye
Hazrat Husain Taybaah se Kufe ko chal diye
Jis Waqt ke Yazeed ko Iska pataa chalaa
Hazrat Husain aa rahe hein Jaanibe Kufaa
Ye sunte hi Yazeed ne Aelaan kar diya
Har Samt Apna jaari ye Farmaan kar diya
Jo Pakdega Husain ko Inaam paayega
Jo Unko Panaah dega Wohi maara jaayega
Hukme Yazeed par kaee Lashkar Siphe-Saalar
Sab chal diye Husain ke karne ko giraftaar
Al-Kissa jab ke jaa rahe the Kufe ko Imaam
Marzi-e-Haq se Karbo-Balaa mein kiya Qiyaam
Karbal mein Jabke Khaime lagaaye Imaam ne
Chaaron taraf se gair liya Fauje Shaam ne
Fir Zulm Ek aesa hua Jaane Batool par
Paani bhi band kar diya Aale Rasool par
Allah ne Jab Husain ka Jab Imtihaan liya
Haq ke liye Husain ne sab kuchh luta diya
Qasim ko bhi Akbar ko bhi Haq par fida kiya
Maasoom Ali Asghar ko bhi Qurbaan kar diya
Ahmad ke Nawaase ne khoon Haq par bahaa diya
Haq ke liye Husain ne Sar tak kataa diya
Ahmad ke Nawaase ne, Sar Haq pe kataa daala
Har Saahibe Imaan ki himmat ho to aesi ho
Khud Pyaare Nabi kehdein Ummat ho to aesi ho
हिंदी(Hindi) :
जो आला है वो पस्ती की तरफ जाया नहीं करते
खयालो हम अपने दिल में वो लाया नहीं करते
मुहम्मद मुस्तफा सल्ले अला के चाहने वाले
बजुज़ इश्क़े नबी कुछ और अपनाया नहीं करते
सरकारे मदीना से उल्फत हो तो ऐसी हो
खुद प्यारे नबी कह दें, उम्मत हो तो ऐसी हो
हम भेजें मुहम्मद पर हर वक़्त दुरूदो सलाम
हर बंदा-इ-मोमीन की आदत हो तो ऐसी हो
जान अपनी बिलाल ने दी, चाहत में मुहम्मद की
बस शाफ़ा-इ-महशर की चाहत हो तो ऐसी हो
दंदा की शहादत पर सब दांत गिरा डाले
ये दास्तान जंगे ओहद की है दोस्तों
क़िस्सा है ये रसूल के दनदान का सुनो
ज़ख्मी हुए थे जंग में सरताज ए अम्बिया
एक दांत भी शहीद हुआ इसमें नबी का
हज़रत अवैस को लगी जिस वक़् ये ख़बर
तो ग़म की लहर दौड़ गई जिस्म के अंदर
फिर आपने कहा की मैं जो होता वहां पर
कर देता अपनी जान नबी पे मैं निछावर
अफ़सोस नबी से रहा उस वक़्त मैं वईद
दनदाने मुबारक नबी का जब हुआ शहीद
बर्दाश्त इस ग़म को भला मैं कैसे करूंगा
प्यारे नबी से उम्र भर शर्मिंदा रहूंगा
इनको नबी के दांत का बेहद हुआ मलाल
दिल में अवैस करनी के फिर आया ये ख्याल
दिल में अवैस करनी के फिर आया ये ख्याल
दनदाने मुबारक नबी का जब नहीं रहा
इक दांत अपना तोड़ दूं ये हक़ करूं अदा
ये सोचते ही तोड़ लिया एक दांत को
फिर सोचने लगे के कहीं दूसरा ना हो
अवैस ने फिर दूसरे भी दांत को तोड़ा
अल-क़िस्सा अपने मुंह में कोई दांत न छोड़ा
इश्क़़ ए नबी में आपने ये करके दिखाया
जितने भी मुंह में दांत थे उन सब को गिराया
दन्दां की शहादत पर सब दांत गिरा डाले
सरकारे दो आलम से उल्फ़त हो तो ऐसी हो
हाफ़िज़ तेरे सीने में जो दौलत ए कुरआं है
हर एक मुस्लमां पे दौलत हो तो ऐसी हो
अह़मद के नवासे ने सर ह़क़ पे कटा डाला
ये दास्तान सुनिए इमाम ए हुसैन की
ज़हरा के दिल जिगर अली के नूर ए ऐन की
हाकिम यज़ीद जब के हुआ मुल्क़ ए शाम में
तो बढ़ गया तरख़ना शरीअ़त के काम में
थर्राता था यज़ीद से उस वक़्त हर बशर
वो हुकमरानी करता था बे-ख़ौफ़ बे-ख़तर
हाकिम यज़ीद ने दिया हुसैन को पयाम
बैअ़त करो कुबूल हमारी बा-एहतराम
ठुकरा दिए हुसैन ने यज़ीद के उसूल
बैअ़त यज़ीद आपने हरगिज़ ना की कुबूल
और इस त़रफ़ हुसैन को ख़त आये कूफ़ा से
प्यारे हुसैन जल्द कूफ़ा आप आइये
बैअ़त करेंगे आपकी लिक्खा हुसैन को
धोके से कूफ़ियों ने बुलाया हुसैन को
जो कुछ लिखा हुसैन को दिल में वही लिये
हज़रत हुसैन तैबा से कूफ़े को चल दिये
जिस वक़्त के यज़ीद को इसका पता चला
हज़रत हुसैन आ रहे हैं जानिब ए कूफ़ा
ये सुनते ही यज़ीद ने ऐलान कर दिया
हर सम्त अपना जारी ये फ़रमान कर दिया
जो पकड़ेगा हुसैन को ईनाम पायेगा
जो उनको पनाह देगा वोही मारा जायेगा
हुक्म ए यज़ीद पर कई लश्कर सिपेहसालार
सब चल दिये हुसैन के करने को गिरफ़्तार
अल-क़िस्सा जब के जा रहे थे कूफ़े को इमाम
मर्ज़ी ए ह़क़ से कर्बोबला में किया क़याम
करबल में जब के ख़ैमे लगाए इमाम ने
चारों तरफ़ से घेर लिया फौज ए शाम ने
फिर ज़ुल्म एक ऐसा हुआ जाने बतूल पर
पानी भी बंद कर दिया आले रसूल पर
अल्लाह ने हुसैन का जब इंम्तहां लिया
ह़क़ के लिए हुसैन ने सब कुछ लुटा दिया
कासिम को भी, अकबर को भी, हक़ पर फ़िदा किया
मासूम अली असग़र को भी कुर्बान कर दिया
अहमद के नवासे ने खूं ह़क़ पर बहा दिया
हक़ के लिए हुसैन ने सर तक कटा दिया
अहमद के नवासे ने सर ह़क़ पे कटा डाला
हर साहिब ए ईमां की हिम्मत हो तो ऐसी हो
खुद प्यारे नबी कह दें उम्मत हो तो ऐसी हो
अहमद के नवासे ने सर ह़क़ पे कटा डाला
हर साहिब ए ईमां की हिम्मत हो तो ऐसी हो
खुद प्यारे नबी कह दें उम्मत हो तो ऐसी हो
Comments
Post a Comment