Mein Husain hun Lyrics || Hafiz Ahmed Raza


Mein Husain hun Mein Husain hun
Mein Husain hun Mein Husain hun

Mein Ghule Shahe Kaunayn hun
Mein Husain hun Mein Husain hun

Dile Murtaza ka Mein Chain hun
Mein Husain hun Mein Husain hun

Mein Shabihe Sarware Do Jahan
Mera Lafz Lafz hai Haq Nishan
Haan Mein Shahe Khulde Bari bhi hun
Mein Ali ki Rooh ka Chain hun
Mein Husain hun Mein Husain hun

Kisne kaha ke Mein Aam hun
Mein Imam Ibne Imam hun
Mein Hurmate Haramayn hun
Mein Husain hun Mein Husain hun

Mein Khuda ke Sher ka Laal hun
Shahe Do Jahan ki Mein Aal hun
Mera Baba Ilm ka Baab hai
Dile Fatima ka Mein Chain hun
Mein Husain hun Mein Husain hun

Mein Husain hun Mein Husain hun
Mein Husain hun Mein Husain hun

Mein Saware Doshe Rasool hun
Chamane Ali ka Mein Phool hun
Mere Sar pe Dastare Nabi
Mein Nishane Badro Hunain hun

Ye Mere Khilaf hein kis Liye
Inhe Ikhtilaf hai Kis Liye
Inhe Bas Azeez hai Saltanat
Inhe Kya pata Mein Husain hun
Mein Husain hun Mein Husain hun

Ye Jo Haal hai Kashmir ka
Ye Jo Zulmo sharr ka Riwaz hai
Ye to Karbala ka sa daur hai
Hame Fir Husain ki Aas hai
Wo Husain Fikro Shaoor hai
Wo Jo Tareeki mein bhi Noor hai
Use Do Saza Wo Kareeb hai
Wo kahan Gulamon se Door hai
Ye Dare Husain ki hai Sada
Mujhe Do Saza mein Husain hun
Mein Husain hun Mein Husain hun

Mein Fakeer Katibe Be Nawa
Mein Ghulam Aale Rasool ka
Muje Karbala ki hai Justaju
Mein Aseere Ishke Husain hun
Mein Husain hun Mein Husain hun


Comments

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)