Agar Husaini ho Lyrics || Hafiz Tahir Qadri


Husainiyon ! Husainiyon !

Muaashre ko burai se paak kar dalo
Har Ek Shar ko Mitao Agar Husaini ho

Husainiyat ka Mission suno Husaini ban ke jiyo
Husainiyat ka Mission suno Husaini ban ke jiyo

Labbayk Labbayk Maula Husain
Labbayk Labbayk Maula Husain

Agar Husaini ho Agar Husaini ho
Nizame Haq ko bachao 
Agar Husaini ho Agar Husaini ho
Yazidiyat ko Mitao
Agar Husaini ho Agar Husaini ho

Laga do Jaan ki Baazi Baqa-e-Haq ki liye
Wafa ka Ahad nibhao Agar Husaini ho

Husain Zinda Zamiree ki Ek Alamat hai
Khudi Hayat mein Laao Agar Husaini ho

Labbayk Labbayk Maula Husain
Labbayk Labbayk Maula Husain

Unhone Maut ke sholon pe bhi Namaz padhi
Namazein Apni bachao Agar Husaini ho

Kabhi Kisi ko gata kar na badhe hoge Tum
Khud Apne kad ko badhao Agar Husaini ho

Labbayk Labbayk Maula Husain
Labbayk Labbayk Maula Husain

Juluso Jalsa o Naara hi bas nahin sab kuchh
Amal bhi kar ke dikhao Agar Husaini ho

Nabi ki Izzato Namus ki Tahaffuz par
Jawani Apni Lutao Agar Husaini ho

Husain Warise Ilme Nabi ko kehte hein
Padho Padhao Sikhao Agar Husaini ho

Suno Faridi Muharram ka hai yahi Paygam
Alam Na-Haq ka jhukao Agar Husaini ho

Naat Khwan : 

Hafiz Tahir Qadri

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Kaba Dikha de Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Kya Bataun ki Kitni hein Khubiyan Madine mein Lyrics - Aaye Jab Mere Aaqa / क्या बताऊँ कि कितनी हैं, खूबियाँ मदीने में

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics / मदीने के आक़ा, सलामुन अलैक / مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ