Muje bhi Madine bula Mere Maula Lyrics


Muje bhi Madine bula Mere Maula
Karam ki Tajalli dikha Mere Maula
Bahot Bekarari ke aalam mein hun mein
Meri Bekarari Mita Mere Maula


Yaqeen hai Madina karam hi karam hai
Tu rakhta jahan mein sabhi ka bharam hai
Tuje wasta Tere Pyare Nabi ka
Meri bigdi ab to bana Mere Maula

Jise Tune chaha Mein Us pe fida hun
Mein Tere Muhammad ke dar ka gada hun
Tuje wasta Sayyade Karbala ka
Muje har bala se bacha Mere Maula

Muhammad Tune jo Quran diya hai
Karodon dilon mein mukammal chhupa hai
Aye Quran ke Malik guzarish hai Tujse
Mere dil mein Quran basa Mere Maula

Nigahon se pinhaa Kyun manzil Meri hai
Kyun Majdar mein naao Meri fasi hai
Khataon ka mara bhi paale ga sahil
Gar Abid ke dil me samaa mere Maula

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Ya Sahibal Jamal Wa Ya Sayyidal Bashar Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Har Desh mein gunjega Ab Ya Rasool-allah Lyrics Full / हर देश में गूंजेगा, अब या रसूलल्लाह / ہر دیش میں گونجے گا، اب یا رسول اللہ

Ya Nabi Mujh pe bhi Ek Nigahe Karam Lyrics / तुझको भेजा गया है करम के लिए

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں