huzoor aisa koi intezaam ho jaae huzoor aisa koi intezaam ho jaae salaam ke liye haazir ghulaam ho jaae mai.n sirf dekhlu.n ek baar sub'he taiba ko bala se fir meri duniya me.n shaam ho jaae tajalliyaat se bhar lu.n , mai.n apna kaasa-e-jaa.n kabhi jo unki gali me.n qayaam ho jaae huzoor aap jo sun le.n to baat ban jaae huzoor aap jo keh de.n to kaam ho jaae mile muje bhi zabaan-e-busiri-o-jaami mera kalaam bhi maqbool-e-aam ho jaae maza to jab hai, farishte ye qabr me.n keh de.n sabeeh ! mid.hat-e-KHair-ul- anaam ho jaae हुज़ूर ऐसा कोई इंतज़ाम हो जाए हुज़ूर ऐसा कोई इंतज़ाम हो जाए सलाम के लिए हाज़िर ग़ुलाम हो जाए मैं सिर्फ देख लूँ एक बार सुब्ह-ए-तैबा को बला से फिर मेरी दुनिया में शाम हो जाए तजल्लियात से भर लूँ मैं अपना कासा-ए-जां ...