- Get link
- X
- Other Apps
noor wale mustafa aa gaye chha gaye
Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri
noor wale mustafa aa gaye chha gaye
noor wale mustafa aa gaye chha gaye
noor wale mustafa shehre aalam mein aa gaye
dekhte hi dekhte saare jahan pe chha gaye
jagmagaai hai ye duniya mustafa ke noor se
mehr chamka maag chamka mustafa ke noor se
jashne aaqa par sajin galiyaan sitaron ki tarha
dil mein khushiyan raks karti hein bahaaron ki tarha
doston dekho to sahi kaisi galiyaan saji hui hein
kaisi ronakein lagi hui hein
har taraf khushiyan hi khushiyan hein
har taraf jande hi jande hein
har jagah marhaba ya mustafa ki sadaein
buland ho rahi hein
marhaba ya mustafa marhaba ya mustafa
marhaba ya mustafa marhaba ya mustafa
sarkar ki aamad ...... marhaba
dildar ki aamad ...... marhaba
huzur ki aamad ...... marhaba
purnoor ki aamad ...... marhaba
mubarak ho wo shah parde se bahir hone wala hai
gadai ko zamana jiske dar par aane wala hai
aaj to sara jahan hai noor mein duba hua
jis taraf dekho sama hai noor mein duba hua
apne donon hathon se kushiyan lutaane aa gaye
aa gaye aaqa nayi duniya basane aa gaye
aasman par chha gayi hein rehmaton ki badliyaan
kaun aaye hein ke barsi cham-chama-cham bundiyaan
salaam mustafa salaam mustafa
assalatu wassalamu alayk ya rasulallah
ya rasulallah apne gulaamon ka salaam qubul kar lijiye
ya rasulallah ham gunahgaaron ka salaam qubul kar lijiye
aye garibon ke waali salaam ho aap par
salaam aye aamena ke laal aye mehbube sub'hani
salaam aye fakhre maujudaat fakhre naw-e-insani
salaam us par ke jiske ghar mein chandi thi na sona tha
salaam us par ke tuta boriya jiska bichhona tha
salaam us par ke jisne be-kason ki dastagiri ki
salaam us par ke jisne badshaahi mein fakeeri ki
salaam us par ke jisne chand ko do tukde farmaaya
salaam us par ke jis ke hukm se suraj palat aaya
noor dayein noor bayein noor aage pichhe noor
jurmaton mein noor ke aaye saraapa rang ke noor
zindagi bhar naat ki mehfil sajate jaayenge
jaise bhi haalat hon unka alam lehraayenge
baarwih ke din mein jannat ke nazaare chha gaye
unke kadmon mein ujaagar chand taare aa gaye
aa gayi hai chha gayi hai sabz jandon ki bahar
eide miladunnabi hai jumon jumon mere yaar
mere aaqa aaye jhumon mere data aaye jhumon
is taraf jo noor hai to us taraf bhi noor hai
zarra zarra sab jahaan ka noor se ma'moor hai
नूर वाले मुस्तफ़ा आ गए छा गए
नूर वाले मुस्तफ़ा आ गए छा गए
नूर वाले मुस्तफ़ा आ गए छा गए
नूर वाले मुस्तफ़ा शहर-ए-आलम में आ गए
देखते ही देखते सारे जहां पे छा गए
जगमगाई है ये दुनिया मुस्तफ़ा के नूर से
महर चमका माघ चमका मुस्तफ़ा के नूर से
जश्ने आका पर सजीं गलियां सितारों की तरह
दिल में खुशियाँ रक़्स करती हैं बहारों की तरह
दोस्तों देखो तो सही कैसी गलियां सजी हुई हैं
कैसी रौनकें लगी हुई हैं
हर तरफ खुशियाँ ही खुशियाँ हैं
हर तरफ झंडे ही झंडे हैं
हर जगह मर्हबा या मुस्तफ़ा की सदाएँ
बुलंद हो रही हैं
मरहबा या मुस्तफ़ा मरहबा या मुस्तफ़ा
मरहबा या मुस्तफ़ा मरहबा या मुस्तफ़ा
सरकार की आमद...... मरहबा
दिलदार की आमद...... मरहबा
हुज़ूर की आमद...... मरहबा
पूरनूर की आमद...... मरहबा
मुबारक हो वो शह पर्दे से बाहर होने वाला है
गदाई को ज़माना जिसके दर पर आने वाला है
आज तो सारा जहाँ है नूर में डूबा हुआ
जिस तरफ देखो समा है नूर में डूबा हुआ
अपने दोनों हाथों से खुशियाँ लुटाने आ गए
आ गए आका नई दुनिया बसाने आ गए
आसमान पर छा गई हैं रहमतों की बदलियाँ
कौन आए हैं कि बरसी चम-चमा-चम बूँदियाँ
सलाम मुस्तफ़ा सलाम मुस्तफ़ा
अस्सलातु वस्सलामु अलैक या रसूलअल्लाह
या रसूलअल्लाह अपने ग़ुलामों का सलाम क़बूल कर लीजिए
या रसूलअल्लाह हम गुनहगारों का सलाम क़बूल कर लीजिए
अए ग़रीबों के वाली सलाम हो आप पर
सलाम अए आमिना के लाल अए महबूब-ए-सुभानी
सलाम अए फ़ख़्र-ए-मौजूदात फ़ख़्र-ए-नव-ए-इंसानी
सलाम उस पर के जिसके घर में चाँदी थी ना सोना था
सलाम उस पर के टूटा बोरिया जिसका बिछौना था
सलाम उस पर के जिसने बे-कसों की दस्तगिरी की
सलाम उस पर के जिसने बादशाही में फकीरी की
सलाम उस पर के जिसने चाँद को दो टुकड़े फ़रमाया
सलाम उस पर के जिसके हुक्म से सूरज पलट आया
नूर दाएं नूर बाएं नूर आगे पीछे नूर
जुल्मतों में नूर के आए सरापा रंग के नूर
ज़िंदगी भर नात की महफ़िल सजाते जाएँगे
जैसे भी हालात हों उनका अलम लहराएँगे
बारहवीं के दिन में जन्नत के नज़ारे छा गए
उनके क़दमों में उजागर चाँद तारे आ गए
आ गई है छा गई है सब्ज़ झंडों की बहार
ईद-ए-मिलादुन्नबी है झूमो झूमो मेरे यार
मेरे आका आए झूमो मेरे दाता आए झूमो
इस तरफ जो नूर है तो उस तरफ भी नूर है
ज़रा ज़रा सब जहाँ का नूर से मआमूर है
نور والے مصطفیٰ آ گئے چھا گئے
نور والے مصطفیٰ آ گئے چھا گئے
نور والے مصطفیٰ آ گئے چھا گئے
نور والے مصطفیٰ شہرِ عالم میں آ گئے
دیکھتے ہی دیکھتے سارے جہاں پہ چھا گئے
جھلملائی ہے یہ دنیا مصطفیٰ کے نور سے
مہر چمکا، ماہ چمکا مصطفیٰ کے نور سے
جشنِ آقا پر سجیں گلیاں ستاروں کی طرح
دل میں خوشیاں رقص کرتی ہیں بہاروں کی طرح
دوستو دیکھو تو سہی کیسی گلیاں سجی ہوئی ہیں
کیسی رونقیں لگی ہوئی ہیں
ہر طرف خوشیاں ہی خوشیاں ہیں
ہر طرف جھنڈے ہی جھنڈے ہیں
ہر جگہ مرحبا یا مصطفیٰ کی صدائیں
بلند ہو رہی ہیں
مرحبا یا مصطفیٰ مرحبا یا مصطفیٰ
مرحبا یا مصطفیٰ مرحبا یا مصطفیٰ
سرکار کی آمد...... مرحبا
دلدار کی آمد...... مرحبا
حضور کی آمد...... مرحبا
پرنور کی آمد...... مرحبا
مبارک ہو وہ شہ پردے سے باہر ہونے والا ہے
گدائی کو زمانہ جس کے در پر آنے والا ہے
آج تو سارا جہاں ہے نور میں ڈوبا ہوا
جس طرف دیکھو سماں ہے نور میں ڈوبا ہوا
اپنے دونوں ہاتھوں سے خوشیاں لٹانے آ گئے
آ گئے آقا نئی دنیا بسانے آ گئے
آسمان پر چھا گئی ہیں رحمتوں کی بدلیاں
کون آئے ہیں کہ برسی چھم چھما چھم بوندیاں
سلام مصطفیٰ سلام مصطفیٰ
الصلوٰۃ والسلام علیک یا رسول اللہ
یا رسول اللہ اپنے غلاموں کا سلام قبول کر لیجیے
یا رسول اللہ ہم گناہگاروں کا سلام قبول کر لیجیے
اے غریبوں کے والی سلام ہو آپ پر
سلام اے آمنہ کے لعل اے محبوبِ سبحانی
سلام اے فخرِ موجودات فخرِ نوعِ انسانی
سلام اُس پر کہ جس کے گھر میں چاندی تھی نہ سونا تھا
سلام اُس پر کہ ٹوٹا بوریا جس کا بچھونا تھا
سلام اُس پر کہ جس نے بے کسوں کی دستگیری کی
سلام اُس پر کہ جس نے بادشاہی میں فقیری کی
سلام اُس پر کہ جس نے چاند کو دو ٹکڑے فرمایا
سلام اُس پر کہ جس کے حکم سے سورج پلٹ آیا
نور دائیں نور بائیں نور آگے پیچھے نور
ظلمتوں میں نور کے آئے سراپا رنگ کے نور
زندگی بھر نعت کی محفل سجاتے جائیں گے
جیسے بھی حالات ہوں ان کا عَلَم لہراتے جائیں گے
بارہویں کے دن میں جنت کے نظارے چھا گئے
ان کے قدموں میں اُجاگر چاند تارے آ گئے
آ گئی ہے چھا گئی ہے سبز جھنڈوں کی بہار
عید میلادالنبی ہے جھومو جھومو میرے یار
میرے آقا آئے جھومو میرے داتا آئے جھومو
اس طرف جو نور ہے تو اُس طرف بھی نور ہے
ذرّہ ذرّہ سب جہاں کا نور سے معمور ہے
More Lyrics :
hafiz tahir qadry
miladunnabi
N
naat
ujagar naat
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम
Mustafa Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam Roman Urdu, Hindi & Urdu Lyrics Roman Urdu हिंदी اردو Roman Urdu mustafa jaan-e-rahmat pe laakhon salaam shaam-e-bazm-e-hidaayat pe laakhon salaam mehr-e-charkh-e-nubuwwat pe roshan durood ghule baagh-e-risaalat pe laakhon salaam shahr-e-yaar-e-iram taajdaar-e-haram nau bahaar-e-shafaa'at pe laakhon salaam shab-e-asraa ke dulha pe daa'im durood nosha-e-bazm-e-jannat pe laakhon salaam fath-e-baab-e-nubuwwat pe behad durood khatm-e-daura-e-risaalat pe laakhon salaam mujh se be-kas ki daulat pe laakhon durood mujh se be-bas ki quwwat pe laakhon salaam ham gareebon ke aaqa pe behad durood ham fakeeron ki sarwat pe laa...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ
maula ya salli wa sallim daaeeman abadan sahar ka waqt tha maasum kaliyaa.n muskuraati thi.n hawaaei.n khair-makhdam ke taraane gungunaati thi.n abhi jibreel bhi utre na the kaa'be ke mimbar se ke itne me.n sadaa aayi hai abdullah ke ghar se mubaarak ho shah-e-har-do-saraa tashreef le aaye mubaarak ho muhammad mustafa tashreef le aaye maula ya salli wa sallim daaeeman abadan 'ala habibi-k khairil khalki kullimi muhammadun sayyidun kaw-nayni wa sakalayni wal-farikayni min arabiw-wa-min ajami na koi aap jaisa hai na koi aap jaisa tha koi yusuf se puchhe mustafa ka husn kaisa tha zameeno.n aasmaa.n me.n koi bhi misaal na mili maula ya salli wa sallim daaeeman 'abadan ...
Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा
baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad hai pyaara baghdaad hai pyaara kehte hein jise sab hai bahot khoob wahi hai har 'aashiq-e-sarkaar ka matloob wahi hai allah ke mahboob ka mahboob wahi hai ek baar jo dekh aaye wo jaata hai dobaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara rahmat ka khazeena hein wo baGdaad ki galiyaan tasweer-e-madina hein wo baGdaad ki galiyaan jannat ka nageena hein wo baGdaad ki galiyaan bahta hai sada rahmat-o-anwaar ka dhaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara chaadar wahaan rahti hai tani hasani-husaini har samt wahaan chhanw mili hasani husaini khushbu hai fazaaon mein basi hasani husaini baGdaad ka dulha hai, 'ali ka hai dulaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara us dar ki mohabbat hai madine ki mohabbat us dar ki inaayat hai madine ki ina...
Keh dena Sarkar se Salam Hamara Lyrics / कह देना सरकार से सलाम हमारा, सलाम हमारा
Le Ke Jab Aaye Haji Unke Dar Ka Haseen Nazara Roman Urdu, Hindi & Urdu Roman Urdu हिंदी اردو Roman Urdu le ke jab aaye haji unke dar ka haseen nazara keh dena sarkar se salaam hamara, salaam hamara wo hein jaan-e-kaaba, wo hein shaah-e-do aalam dekh ke jinka jalwa jhoome arsh-e-aazam nabiyon mein koi bhi nahin hai unke jaisa nyaara keh dena sarkar se salaam hamara, salaam hamara unke dar pe jaa kar hosh na udne paaye dil ki har dhadkan pe rang-e-junoon na chhaye be adbi mahboob ke dar ki, rab ko nahin gawara keh dena sarkar se salaam hamara, salaam hamara unki rahmat ka dariya rehta hai har-soo gham ke andheron mein wahi hai roshni numaya ummat ke liye jo roye raaton mein, aisa nahin koi hamara keh dena sarkar s...
Aye Saba Mustafa se keh dena Lyrics / अये सबा मुस्तफा से कह देना / اے صبا! مصطفیٰ سے کہہ دینا
aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n Naat-Khwaan: Haji Mushtaq Attari aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n yaad karte hei.n tumko shaam-o-sahar, dil hamaare salaam kehte hei.n allah ! allah ! huzoor ki baatei.n, marhaba rang-o-noor ki baatei.n chaand jin par nisaar hota hai, aur taare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n jab muhammad ka naam aata hai, rahmato.n ka payaam aata hai lab humaare durood padte hei.n, dil humaare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n allah ! allah ! huzoor ke gaisu, bheeni-bheeni mahakti wo khushbu jin se maa'mur hai faza har-soo, wo nazaare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n zaaeer-e-taiba tu madine mei.n, pyaare aaqa se itna keh dena aap ki gard-e-raah ko aaqa ! be-sahaare salaam kehte hei.n a...
Meeran Waliyon ke Imam dedo panjatan ke naam Lyrics / मीराँ वलीयों के इमाम देदो पंजतन के नाम
meeraan walion ke imaam! dedo panjatan ke naam meeraan walion ke imaam! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se daalo nazr-e-karam sarkaar! apne mangaton par ek baar humne mehfil hai sajaaee badi dair se mere chaand mainn sadqe, aaja idhar bhi chamak utthe dil ki kali ghaus-e-aa'zam! meeraan waliyon ke imaam ! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se tere rabb ne malik kiya tere zad ko tere dar se duniya pali ghaus-e-aa'zam! meeran waliyon ke imaam ! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se tera rutba aala na kyun ho ke maula! tu hai ibn-e-maula ali ghaus-e-aa'zam! meeran waliyon ke imaam ! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se qadam gardan-e-auliya par hai tera tu hai rab ka aisa wali ghaus-e-aa'zam! meeran waliyon ke imaam! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se tum jo banaao baat banegi, donon jahaan men laaj rahegi lajpaal karam ab k...
Mohe Sapna ma Darshan dikhai gayo re Lyrics / मोहे सपना मां दर्शन दिखाई गयो रे
More Ghaus-ul-Wara Roman Hindi Urdu Roman Urdu gaus-e-aazam darmiyaan-e-auliya choon muhammad darmiyaan-e-ambiya mohe sapna maan darshan dikhai gayo re more ghaus-ul-wara, more ghaus-ul-wara more sote maan bhaag jagaai gayo re more ghaus-ul-wara, more ghaus-ul-wara chashma baghdaad ka jab laga aankh par dekha taiba nagar, dekha taiba nagar jaanib-e-makka jab bhi uthi hai nazar dekha taiba nagar, dekha taiba nagar mohe man maan madina basai gayo re more ghaus-ul-wara, more ghaus-ul-wara mohe sapna maan darshan dikhai gayo re more ghaus-ul-wara, more ghaus-ul-wara more sote maan bhaag jagaai gayo re more ghaus-ul-wara, more ghaus-ul-wara gham ka baadal tha aur main pareshan tha mujhko bakhsha sukoon, mujhko bakhsha sukoon tooti patwaar thi aur main hairaan tha ...







.png)


My Name is Aheasan ali saiyed
ReplyDeleteNoor aa gaya naat please please please please give me in urdu language naat Noor aa gaya
ReplyDelete