Skip to main content

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye Lyrics


Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye

Noor wale Mustafa Shehre Aalam mein Aa gaye
Dekhte hi dekhte sare Jahan pe chha gaye

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gayeJagmagai hai ye Duniya Mustafa ke Noor se
Mehr chamka Maag chamka Mustafa ke Noor se

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye

Jashne Aaqa par sajin galiyan Sitaron ki tarha
Dil mein Khushiyan raks karti hein baharon ki tarha

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye
Doston dekho to sahi kesi galiyan saji hui hein
Kesi Ronakein lagi hui hein
Har taraf Khushiyan hi Khushiyan hein
Har taraf jande hi jande hein
Jagah Marhaba Ya Mustafa ki sadaein
Buland ho rahi hein

Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa

Sarkar ki Aamad ...... Marhaba
Dildar ki Aamad ...... Marhaba
Huzur  ki Aamad ...... Marhaba
Purnoor ki Aamad ...... Marhaba

Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa

Mubarak ho wo Shah parde se bahir hone wala hai
Gadai ko zamana jiske dar par aane wala hai
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa

Sarkar ki Aamad ...... Marhaba
Dildar ki Aamad ...... Marhaba
Huzur  ki Aamad ...... Marhaba
Purnoor ki Aamad ...... Marhaba

Noor aa gaya Noor aa gaya  Noor aa gaya

Sarkar ki Aamad ...... Marhaba
Dildar ki Aamad ...... Marhaba
Makki ki Aamad ...... Marhaba
Madni ki Aamad ...... Marhaba
Aaqa ki Aamad ...... Marhaba
Data ki Aamad ...... Marhaba
Sab jhum ke bolo ..... Marhaba

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye

Aaj to sara jahan hai Noor mein duba hua
Jis taraf dekho sama hai Noor mein duba hua

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye

Apne donon hathon se kushiyan lutane aa gaye
Aa gaye Aaqa nayi Duniya basane aa gaye

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye

Aasman par chha gayi hein Rehmaton ki badliyan
Kaun aaye hein ke barsi cham-chama-cham bundiyan

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye

Salam Mustafa Salam Mustafa
Salam Mustafa Salam Mustafa

Assalatu Wassalamu Alayk Ya Rasulallah
Ya Rasulallah Apne gulamon ka Salam kubul kar lijiye
Ya Rasulallah Ham gunahgaron ka Salam kubul kar lijiye
Aye garibon ke wali Salam ho Aap par

Salam Aye Aamena ke laal Aye Mehbube Sub'hani
Salam Aye Fakhre maujudat Fakhre naw e Insani
Salam us par ke jiske ghar mein chandi thi na sona tha
Salam us par ke tuta boriya jiska bichhona tha
Salam us par ke jisne be-kason ki dastagiri ki
Salam us par ke jisne Badshahi mein fakeeri ki
Salam us par ke jisne chand ko do tukde farmaya
Salam us par ke jis ke hukm se suraj palat aaya

Sarkar ki Aamad ...... Marhaba
Dildar ki Aamad ...... Marhaba
Makki ki Aamad ...... Marhaba
Madni ki Aamad ...... Marhaba
Aaqa ki Aamad ...... Marhaba
Data ki Aamad ...... Marhaba
Sab jhum ke bolo ..... Marhaba

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye

Noor dayein Noor bayein Noor aage pichhe Noor
Zurmaton mein Noor ke aaye sarapa rang ke Noor

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye

Zindagi bhar Naat ki mehfil sajate jayenge
Jaise bhi halat ho unka alam lehrayenge

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye

Barwih ke din mein jannat ke nazare chha gaye
Unke kadmon mein Ujagar Chand Taare aa gaye

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye

Aa gayi hai chha gayi hai sabz jandon ki bahar
Eide Miladunnabi hai jumon jumon Mere Yaar

Mere Aaqa Aaye Jhumon Mere Data Aaye Jhumon

Is Taraf jo Noor hai to us taraf bhi Noor hai
Zarra Zarra sab jahan ka Noor se ma'moor hai

Mere Aaqa Aaye Jhumon Mere Data Aaye Jhumon


Popular posts from this blog

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Sabse Ula wa Aala Hamara Nabi Sabse bala wa Wala Hamara Nabi Apne Maula ka Pyara Hamara Nabi Donon Aalam ka Dulha Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Lakhon aaye yahan aur lakhon gaye Unche Unche Shahenshah yaha na rahe Kitne diye jale jalke fir buj gaye Kya khabar kitne Taare khile chhup gaye Par na dube na duba Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa Sallim Jinke Talwon ka dhowan hai Aabe Hayat Hai Wo Jaane Masiha Hamara Nabi Khalk se Auliya Auliya se Rusool Aur Rasoolon se aala Hamara Nabi Kaun deta hai dene ko Munh chahiye Dene wala hai saccha Hamara Nabi Ghamzadon ko Raza Muzda dijiye ke hein Bekason ka Sahara Hamara Nabi Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Wa ala Aalihi Wa ASahbihi Wa Barik Wa

Shahe Do alam Salam Assalam Lyrics

Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Karo door har gham Salam Assalam Har aankh hoke purnam salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Rabb ne bade pyar se me'raaj mein kaha Rehne do na'layn ko aa jaao mustafa Kadam e Muhammad ko liya arsh ne bosa Jhum uthe sare malaik w marhaba Mange jo nabi rabb ne wo diya Rabb ne jo diya nabi ne wo liya Jhuka arsh e Aazam Salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Aap ne jo kar diya ungali ka ishara Chaand do tukde hua kurban ho gaya Jab namaz e asar ali ki hui kaza Aap ne suraj ko dubara palat diya Aap jo kiye mo'ajaze bane Aap jab chale do jahan juke Mera sar bhi hai kham Salam Assalam Shahe Do alam Salam Assalam  Garibon ke hamdam salam Assalam Ya nabi ab hind mein mushkil hua jina Nazre karam se hamen bulwayen madina Paas hamare na koi maalo zar hai Mujse badi door madine ka safar hai Der na karo jald

Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Lyrics || Hafiz Tahir Qadri

Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Hajj ka Sharaf ho fir ata Ya Rabbe Mustafa Meetha Madina fir dikha Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Rukh Soo-e-Kaaba Hath mein Zamzam ka Jaam ho Pee kar karun Mein fir Dua Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Roti rahe jo Har Gadi Ishke Rasool mein Wo Aankh de de Ya Khuda Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Mere Maula Karam ho Karam Mere Maula Karam ho Karam De de Tawafe Khana-e-Kaaba ka fir Sharaf Farma Ye Pura Mudd'aa Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Aankhon mein Jalwa Shah ka Aur Lab pe Naat ho Jab Rooh Tan se ho Juda Ya Rabbe Mustafa Ya Rabbe Mustafa Tu Muje Hajj pe bula Aake Mein dekh lun Aankh se Kaaba Tera Firdos mein Pados