Aye Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen Lyrics


Be Khabar Tu Zohar-e-Aa'yina-e-Ayyaam Hai
Tu Zamaane mein Khuda Ka Aakhri Paigham Hai

Aye Rasul-e-Ameen, Khaatamal Mursaleen
Tujsa Koi Nahin, Tujsa Koi Nahin

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidqo Yaqeen
Tujsa Koi Nahin, Tujsa Koi Nahin

Aye Rasul-e-Ameen, Khaatamal Mursaleen

Bazm-e-Kaunain Pehle Sajaee Gayi
Phir Teri Zaat Manzar Pe Laayi Gayi

Sayyad ul-Awwaleen, Sayyad ul-Aakhareen
Tujsa Koi Nahin, Tujsa Koi Nahin
Sayyad al-Awwaleen, Sayyad al-Aakhireen

Mustafa, Mujtaba, Teri Maddah O Sana
Mere Bas Mein Nahin, Dastaras Mein Nahin

Dil Ko Himmat Nahin, Lab Ko Yaara Nahin
Tujsa Koi Nahin, Tujsa Koi Nahin

Mustafa, Mujtaba, Teri Maddah O Sana
Dil Ko Himmat Nahi, Lab Ko Yaara Nahi

Aye Rasul-e-Amin, Tujsa Koi Nahin

Dast-e-Qudrat Ne Aisa Banaaya Tujhe
Jumla Awsaaf Se Khud Sajaaya Tujhe

Aye Azal Ke Haseen, Aye Abad Ke Haseen
Dhoondhti Hai Tujhe Meri Jaan-e-Hazeen

Tera Sikkah Rawa Kul Jahan Mein Huwa
Is Zameen Mein Huwa, Aasmaan Mein Huwa

Kya Arab Kya Ajam Sab Hai Zair-e-Nagin
Taubah Taubah Nahin, Koi Tujsa Nahi

Aye Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen
Tujsa Koi Nahin  Tujsa Koi Nahin

Hai Aqeedah Yeh Apna Ba-Sidq Wa Yaqeen
Tujsa Koi Nahin Tujsa Koi Nahin


Aye Rasul-e-Amin, Khaatamal Mursaleen

Comments

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)