- Get link
- X
- Other Apps
sahib-e-taaz wo shahe me'raj wo
sahib-e-taaz wo shahe me'raj wo
sheh saware buraqo ameere aalam
dafa-e-har bala, dafa-e-har waba
dafa-e-kehto gham, raazo ranjo alam
sahib-e-taaz wo shahe me'raj wo
is'm likkha gaya is'm uncha hua
is'm mohre quboole shafa'at bhi hai
is'm ki barkatein, is'm ki ronakein
is'm loho qalam ki amanat bhi hai
kya arab kya ajam sab ke sardar hain
sab ke sardar ka hai muqaddas badan
haramo kaaba ko mojo munawwar karein
wo mahekti wo paakiza sirat ke rang
sahib-e-taaz wo shahe me'raj wo
chasht gahon ka sooraj wujood aapka
aap har shab ki zulmat ke mahtab hain
sadre bazm-e-bulandi o raf'at ke hain
rahguzar-e-hidayat ke mahtab hain
saari makhluq ki hai wo jaahe amaan
saari taarikiyon ke wo roshan chiraag
nek teerat hain wo, nek atwaar hain
unke hathon mein hain bakhshishon ke ayaan
sahib-e-taaz wo shahe me'raj wo
sar se pairon talak wo karam hi karam
rabb hifaazat kare bil-yaqeen aapki
unke khidmat guzaron mein jibreel hain
aur sawaari buraq-e-haseen aapki
safar unka hai me'raj aur sidratul muntaha
mustaqarr aur makaam unka hai
kaaba kausain ka martaba unka matloob hai
aur darrussalaam unka hai
sahib-e-taaz wo shahe me'raj wo
aur matloob hi unka maqsood hai
aur maqsood hi unka mojood hai
aap sare rasoolon ke sardar hain
aap ka sirf allah ma'bood hai
baad mein sare nabiyon ke aaye hain wo
bakhshwaayenge har ek gunahgaar ko
har musaafir ki karte hain gham-khwaariyan
rehmatein baant'te hain wo sansaar ko
sahib-e-taaz wo shahe me'raj wo
aashiqon ke dilon ki wo tasqeen hain
aur muraadein har ek sahibe shauq ki
haq-shanaason ke khurshid-o-khawar hain wo
saalikeen-e-raah-e-roshni roshni
pyaar mohtaajo mukhlis se miskeen se
har muqarrib ki wo rehnumai kare
jinn-o-insaan ke sardar donon haram
donon qiblon ki wo peshwai kare
sahib-e-taaz wo shahe me'raj wo
duniya aur aakhirat ka waseela hain wo
rutba-e-qaaba qawsain jinko mila
donon hi mashriqo maghribon ka wo rabb
haasil unko khitaab us ke mehboob ka
jadde amjad hain hasanain ke aur har
jinn-o-insaan ke aaqa wa maula hain wo
aap qasim ke, bete hain abdullah ke
aur noor-e-ilahi ka jalwa hain wo
sahib-e-taaz wo shahe me'raj wo
ae fidayan-e-noore jamaal-e-nabi
aap par aalo ashaab par subh-o-shaam
jaise haq bhejne ka hai bhejo basad
ahtiraam-o-mohabbat durood-o-salaam
sahib-e-taaz wo shahe me'raj wo
साहिब-ए-ताज़ वो शाह-ए-मे'राज़ वो
साहिब-ए-ताज़ वो शाह-ए-मे'राज़ वो
शह सवार-ए-बुराक़ो अमीरे आलम
दफ़ा-ए-हर बला, दफ़ा-ए-हर वबा
दफ़ा-ए-केहतो ग़म, राज़ो रंजो आलम
साहिब-ए-ताज़ वो शाह-ए-मे'राज़ वो
इस्म लिखा गया, इस्म ऊँचा हुआ
इस्म मोहरे क़ुबूल-ए-शफ़ाअत भी है
इस्म की बरकतें, इस्म की रौनकें
इस्म लोहो क़लम की अमानत भी है
क्या अरब क्या अज़म सब के सरदार हैं
सब के सरदार का है मुक़द्दस बदन
हरमों काबा को मोज़ो मुनव्वर करें
वो महकती वो पाकीज़ा सीरत के रंग
साहिब-ए-ताज़ वो शाह-ए-मे'राज़ वो
चाश्त गाहों का सूरज वुजूद आपका
आप हर शब की ज़ुल्मत के महताब हैं
सद्र-ए-बज़्म-ए-बुलंदी व रिफ्अत के हैं
रहगुज़र-ए-हिदायत के महताब हैं
सारी मख़्लूक़ की है वो जाए अमान
सारी तारीकियों के वो रोशन चराग़
नेक तीरत हैं वो, नेक अत्तवार हैं
उनके हाथों में हैं बख़्शिशों के अयाँ
साहिब-ए-ताज़ वो शाह-ए-मे'राज़ वो
सर से पैरों तलक वो करम ही करम
रब हिफ़ाज़त करे बिल-यक़ीन आपकी
उनके ख़िदमत-गुज़ारों में जिब्रील हैं
और सवारी बुराक़-ए-हसीं आपकी
सफ़र उनका है मे'राज़ और सिदरतुल मुन्तहा
मुस्तक़र और मक़ाम उनका है
क़ाबा कौसैन का मर्तबा उनका मतलूब है
और दर-उस-सलाम उनका है
साहिब-ए-ताज़ वो शाह-ए-मे'राज़ वो
और मतलूब ही उनका मक़सूद है
और मक़सूद ही उनका मौजूद है
आप सारे रसूलों के सरदार हैं
आप का सिर्फ़ अल्लाह माबूद है
बाद में सारे नबियों के आए हैं वो
बख़शवाएँगे हर एक गुनहगार को
हर मुसाफ़िर की करते हैं ग़म-ख़्वारियाँ
रहमतें बाँटते हैं वो संसार को
साहिब-ए-ताज़ वो शाह-ए-मे'राज़ वो
आशिक़ों के दिलों की वो तस्कीन हैं
और मुरादें हर एक साहिब-ए-शौक़ की
हक़-शनासों के ख़ुर्शीद ओ ख़ावर हैं वो
सालिकीन-ए-राह-ए-रौशनी रौशनी
प्यार मोहताजों, मुख़लिस से, मिस्कीन से
हर मुक़र्रिब की वो रहनुमाई करें
जिन्न ओ इंसान के सरदार, दोनों हरम
दोनों क़िबलों की वो पेशवाई करें
साहिब-ए-ताज़ वो शाह-ए-मे'राज़ वो
दुनिया और आख़िरत का वसीला हैं वो
रुतबा-ए-क़ाबा कौसैन जिनको मिला
दोनों ही मशरिक़ ओ मग़रिबों का वो रब
हासिल उनको ख़िताब उस के महबूब का
जद्द-ए-अमजद हैं हसनैन के और हर
जिन्न ओ इंसान के आका व मौला हैं वो
आप क़ासिम के, बेटे हैं अब्दुल्लाह के
और नूर-ए-इलाही का जल्वा हैं वो
साहिब-ए-ताज़ वो शाह-ए-मे'राज़ वो
ऐ फ़िदायान-ए-नूर-ए-जमाल-ए-नबी
आप पर आले-अस्हाब पर सुबह-ओ-शाम
जैसे हक़ भेजने का है भेजो बसद
एहतेराम-ओ-मोहब्बत दुरूद-ओ-सलाम
साहिब-ए-ताज़ वो शाह-ए-मे'राज़ वो
صاحبِ تاج وہ شاہِ معراج وہ
صاحبِ تاج وہ شاہِ معراج وہ
شہ سوارِ براق و امیرِ عالم
دفعِ ہر بلا، دفعِ ہر وبا
دفعِ قحط و غم، راز و رنج و الم
صاحبِ تاج وہ شاہِ معراج وہ
اسم لکھا گیا، اسم اونچا ہوا
اسم مہرِ قبولِ شفاعت بھی ہے
اسم کی برکتیں، اسم کی رونقیں
اسم لوح و قلم کی امانت بھی ہے
کیا عرب کیا عجم سب کے سردار ہیں
سب کے سردار کا ہے مقدس بدن
حرم و کعبہ کو موج و منور کریں
وہ مہکتی وہ پاکیزہ سیرت کے رنگ
صاحبِ تاج وہ شاہِ معراج وہ
چاشت گاہوں کا سورج وجود آپ کا
آپ ہر شب کی ظلمت کے مہتاب ہیں
صدرِ بزمِ بلندی و رفعت کے ہیں
رہگزرِ ہدایت کے مہتاب ہیں
ساری مخلوق کی ہے وہ جائے امان
ساری تاریکیوں کے وہ روشن چراغ
نیک طینت ہیں وہ، نیک اطوار ہیں
ان کے ہاتھوں میں ہیں بخششوں کے عیاں
صاحبِ تاج وہ شاہِ معراج وہ
سر سے پاؤں تلک وہ کرم ہی کرم
رب حفاظت کرے بالیقین آپ کی
ان کے خدمت گزاروں میں جبریل ہیں
اور سواری براقِ حسین آپ کی
سفر اُن کا ہے معراج اور سدرۃ المنتہیٰ
مستقر اور مقام اُن کا ہے
قاب قوسین کا مرتبہ اُن کا مطلوب ہے
اور دارالسلام اُن کا ہے
صاحبِ تاج وہ شاہِ معراج وہ
اور مطلوب ہی اُن کا مقصود ہے
اور مقصود ہی اُن کا موجود ہے
آپ سارے رسولوں کے سردار ہیں
آپ کا صرف اللہ معبود ہے
بعد میں سارے نبیوں کے آئے ہیں وہ
بخشوائیں گے ہر ایک گناہگار کو
ہر مسافر کی کرتے ہیں غمخواری
رحمتیں بانٹتے ہیں وہ سنسار کو
صاحبِ تاج وہ شاہِ معراج وہ
عاشقوں کے دلوں کی وہ تسکین ہیں
اور مرادیں ہر ایک صاحبِ شوق کی
حق شناسوں کے خورشید و خاور ہیں وہ
سالکینِ راہِ روشنی روشنی
پیار محتاجوں، مخلص سے، مسکین سے
ہر مقرب کی وہ رہنمائی کریں
جن و انسان کے سردار، دونوں حرم
دونوں قبلوں کی وہ پیشوائی کریں
صاحبِ تاج وہ شاہِ معراج وہ
دنیا اور آخرت کا وسیلہ ہیں وہ
رتبۂ قاب قوسین جن کو ملا
دونوں ہی مشرق و مغربوں کے وہ رب
حاصل اُن کو خطاب اُس کے محبوب کا
جد امجد ہیں حسنین کے اور ہر
جن و انسان کے آقا و مولا ہیں وہ
آپ قاسم کے، بیٹے ہیں عبداللہ کے
اور نورِ الٰہی کا جلوہ ہیں وہ
صاحبِ تاج وہ شاہِ معراج وہ
اے فدائیانِ نورِ جمالِ نبی
آپ پر آل و اصحاب پر صبح و شام
جیسے حق بھیجنے کا ہے بھیجو بسد
احترام و محبت درود و سلام
صاحبِ تاج وہ شاہِ معراج وہ
More Lyrics :
duroode taaz
huriya faheem
S
- Get link
- X
- Other Apps
Comments
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
Al Madad — Peeraan-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Immerse yourself in the heartfelt naat "Al Madad Peeraan-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer " . Below , you will find the complete lyrics presented in Roman Urdu , Hindi (Devanagari) , and Urdu (Rasm-ul-Khat) , so that every reader may connect and recite. If you enjoy this piece, explore more devotional naats and translations on naat-e-sarkar.com Al-Madad Peeran-e-Peer, Ghaus-e-Azam Dastageer ek roohani manqabat hai jo Hazrat Ghaus-e-Azam Shaykh Abdul Qadir Jilani رحمتہ اللہ علیہ ke rutba, karamaat aur maqam-e-wilayat ko bayan karti hai. Is kalam mein unki roohani qudrat, Ali al-Murtaza aur Hasnain ka saaya aur murdo ko zinda karne ki karamaat ka zikr hai. al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer ! rutba ye wilaayat me.n , ky...
Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا
Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se, beta mera dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana dulha bana inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana dulha bana tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana dulha bana meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana dulha bana is tarha mehka kare ye gh...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है
kya bataun ki kya madina hai kya bataun ki kya madina hai bas mera mudda'aa madina hai uth ke jaaun kahan madine se kya koi dusra madina hai kya bataun ki kya madina hai uski aankhon ka noor to dekho jiska dekha hua madina hai kya bataun ki kya madina hai dil mein ab koi aarzu hi nahin ya muhammad hai ya madina hai kya bataun ki kya madina hai duniya wale to dard dete hein zakhmi dil ki dawa madina hai kya bataun ki kya madina hai mere aaqa! mujhe bula lijiye mujhko bhi dekhna madina hai kya bataun ki kya madina hai dil fida hai madine wale pa...
Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام
shaah-e-do 'aalam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam karo duur har Gam salaam assalaam har aankh hoke pur-nam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam a Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam rabb ne baDe pyaar se me'raaj me.n kahaa rahne do naa'lain ko aa jaao mustafaa qadam-e-mustafaa ka liyaa arsh ne bosaa jhuum uthe saare malaa.ik o marhabaa maa.nge jo nabii rab ne vo diyaa rab ne jo diya, nabii ne vo liyaa jhuuka 'arsh-e-aa'zam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam aapne jo kar diyaa u.nglii ka ishaaraa chaand do tukDe hua qurbaan ho gayaa jab namaaz-e-'asr 'ali ki hui qazaa aapne suraj ko dubaaraa palat diyaa aap jo kiye, mo'jize bane aap ...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा
baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad hai pyaara baghdaad hai pyaara kehte hein jise sab hai bahot khoob wahi hai har 'aashiq-e-sarkaar ka matloob wahi hai allah ke mahboob ka mahboob wahi hai ek baar jo dekh aaye wo jaata hai dobaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara rahmat ka khazeena hein wo baGdaad ki galiyaan tasweer-e-madina hein wo baGdaad ki galiyaan jannat ka nageena hein wo baGdaad ki galiyaan bahta hai sada rahmat-o-anwaar ka dhaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara chaadar wahaan rahti hai tani hasani-husaini har samt wahaan chhanw mili hasani husaini khushbu hai fazaaon mein basi hasani husaini baGdaad ka dulha hai, 'ali ka hai dulaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara us dar ki mohabbat hai madine ki mohabbat us dar ki inaayat hai madine ki ina...
Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai Naat-Khwaan: Zohaib Ashrafi Laiba Fatima wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai firdaus-e-bari jiske wasile se bani hai wo haashmii makki madani ul 'arabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai ahmad hai mohammad hai wah KHatm-e-rasuul hai maKHduum o murabbii hai wahi vaalii-e-kul hai us par hi nazar saare zamane ki lagi hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wash-shams o wad-duHa chehra-e-anwar ki jalak hai wal-layl saza gesuu-e-hazrat ki latak hai 'aalam ko ziya uske wasile se mili hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai allah ka farman "alam-nashrah la-ka sadrak" mansuub hai "wa-raf'aana la-ka zikrak" jis zaat ka quraan me.n bhi zikr-e-jalii hai wo mera nab...
Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ
labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! kariya-kariya, basti-basti, zikr nabi ka aam karo pyaare aaqa ke diwaano.n ! haath mei.n daale haath chalo hubb-e-nabi ka har dil mei.n, tum jaa ke deep jalaao unche mei.n uncha nabi ka janda, ghar-ghar mei.n lehraao khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! ibn-e-'ali ne karbo-bala mei.n tum ko ye paighaam diya yaad rakkho, pyaare aaqa ne tum ko paak nizaam diya tod do baahu ...
Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ
sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri itna kaafi hai zindagi ke liye rakh le.n sarkar jo naukari ke liye sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke kisi shobe mein nakaam nahi hu.n sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n mere nijaat ka yahi raasta dikhai de allah mujko makka madina dikhai de roza-e-mustafa hai jaha.n par aye momino.n aashiq wahi.n pe jeeta aur marta dikhai de sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke hukmarano.n se darta nahi.n kabhi dollar se ya riyal se bikta nahi.n kabhi jis zehn me.n samaya hai faqat dast-e-karbala momin wo sar kataata hai jukta nahi.n kabhi sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n aaqa ka faisala wahi qudrat ka faisala mehshar mein hoga unki shafa'at ka fai...







.png)


Mashallah subhanallha
ReplyDeleteMashallah
ReplyDelete