Soz-e-dil chahiye Chashm-e-nam chahiye
Soz-e-dil chahiye Chashm-e-nam chahiye
Aur shauq-e-talab mautabar chahiye
Ho muyassar Madine ki galiyan agar
Aankh kaafi nahin hai nazar chahiye
Unki mehfil ke aadab kuchh aur hein
Laf kushaee ki jurrat munasib nahin
Unki Sarkar mein iltija ke liye
Jumbish-e-lab nahin chashm-e-tar chahiye
Mein gada e dar e shahe kaunayn hun
Sheesh mahelon ki mujko tamanna nahin
Ho muyassar zameen par ke zere zameen
Mujko Tayba mein ek apna ghar chahiye
Ronakein zindagi ki bahot dekh leen
Ab mein aankhon ka apni karunga bhi kya
Ab na kuchh luftani hai na kuchh deedani
Mujko aaqa ki bas ek nazar chahiye
Aur shauq-e-talab mautabar chahiye
Ho muyassar Madine ki galiyan agar
Aankh kaafi nahin hai nazar chahiye
Unki mehfil ke aadab kuchh aur hein
Laf kushaee ki jurrat munasib nahin
Unki Sarkar mein iltija ke liye
Jumbish-e-lab nahin chashm-e-tar chahiye
Mein gada e dar e shahe kaunayn hun
Sheesh mahelon ki mujko tamanna nahin
Ho muyassar zameen par ke zere zameen
Mujko Tayba mein ek apna ghar chahiye
Ronakein zindagi ki bahot dekh leen
Ab mein aankhon ka apni karunga bhi kya
Ab na kuchh luftani hai na kuchh deedani
Mujko aaqa ki bas ek nazar chahiye
Kia ye Professor Azeem Iqbal ki naat he ?
ReplyDelete