soz-e-dil chahiye chashm-e-nam chahiye soz-e-dil chahiye chashm-e-nam chahiye aur shauq-e-talab mautabar chahiye ho muyassar madine ki galiyan agar aankh kaafi nahin hai nazar chahiye unki mehfil ke aadab kuchh aur hein lab kushaee ki jurrat munaasib nahin unki sarkar mein iltija ke liye jumbish-e-lab nahin chashm-e-tar chahiye main gada-e-dar-e-shah-e-kaunain hun sheesh mahalon ki mujhko tamanna nahin ho muyassar zameen par ke zer-e-zameen mujhko taiba mein ek apna ghar chahiye ronakein zindagi ki bahot dekh leen ab main aankhon ka apni karunga bhi kya ab na kuchh luftaana hai na kuchh deedani mujhko aaqa ki bas ek nazar chahiye सोज़-ए-दिल चाहिए चश्म-ए-नम चाहिए सोज़-ए-दिल चाहिए चश्म-ए-नम चाहिए और शौक़-ए-तलब मौअतबर चाहिए हो मयस्सर मदीने की गलियाँ अगर आँख काफ़ी नहीं है नज़र चाहिए उनकी महफ़िल के आदाब कुछ और हैं लब-कुश...