Afsos bahot door hun gulzare nabi se
Kaash aaye bulawa muje darbare nabi se
Ulfat hai muje gaisu e khamdare nabi se
Abru o palak aankh se rukhsare nabi se
Sadke mein mere gaus ke ho door andhera
Turbat ho munawwar meri anwar e nabi se
Ae Zaeer e Tayba ye dua kar mere haq mein
Mujko bhi bulawa mile darbar e nabi se
Usshak ke aansu nahin thamte dame rukhsat
Jab suu e watan jate hein darbar e nabi se
Jalwon se khudaya mera sina ho madina
Aankhen bhi hon thandi meri deedar e nabi se
Attar hai imaan ki hifazat ka sawali
Khali nahin jayega ye darbare nabi se