Jab husn tha unka jalwanuma Lyrics
Jab husn tha unka jalwanuma
Anwar ka alam kya hoga
Har koi fida hai bin dekhe
To deedar ka alam kya hoga
Ik simt Umar ik simt Ali
Siddik udhar Usman idhar
Un jagmag jagmag taaron mein
Mahtab ka aalam kya hoga
Har koi fida hai bin dekhe
To deedar ka alam kya hoga
Chahen to ishare se apne
Kaya hi palat de duniya ki
Ye shan hai khidmat garon ki
To Sardar ka aalan kya hoga
Har koi fida hai bin dekhe
To deedar ka alam kya hoga
Sunte hein arab ke zarron par
Anwar ki barish hoti hai
Ae Najm na jaane Tayba ke
Gulzar ka aalam kya hoga
Har koi fida hai bin dekhe
To deedar ka alam kya hoga
Mistakes h isme
ReplyDelete