Aaj duniya mein khairul wara aa gaye
Aa gaye aa gaye Mustafa aa gaye
Aaj duniya mein khairul wara aa gaye
Bazme kaunain mein har taraf shor hai
Mustafa aa gaye mujtaba aa gaye
Arsh wale mubarak dene lage
Farsh walon habib e khuda aa gaye
Kaun deta hai dene ko muh chahiye
Dene wala hai sacha hamara nabi
Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na dube na duba hamara nabi
Har taraf hai Niyazi sama eid ka
Mustafa aa gaye Mujtaba aa gaye
Aaj duniya mein khairul wara aa gaye
Comments
Post a Comment